Lyrics :
Singer(s): MOHAMMED RAFI
Aaj Purani Rahon Se
Koi Mujhe Aawaz Na De
Dard Mein Dubey Geet Na De
Gham Ka Sisakta Saz Na De
Beete Dinon Ki Yaad Thi Jinmein
Maein Woh Tarane Bhool Chuka
Aaj Nai Manzil Hai Meri,
Kal Ke Thikaane Bhool Chuka
Na Woh Dil Na Sanam,
Na Woh Deen Dharam
Ab Door Hoon Sare Gunahon Se
Aaj Purani Rahon Se .........
Toot Chuke Sab Pyar Ke Bandhan
Aaj Koi Zanjeer Nahin,
Sheesha-E-Dil Mein Armaanon Ki,
Aaj Koi Tasveer Nahin
Ab Shaad Hoon Maein Aazad Hoon Maein,
Kuch Kaam Nahin Hai Aahon Se,
Aaj Purani Rahon Se .........
Jeewan Badalaa, Duniyaan Badalee,
Man Ko Anokhaa Gyaan Milaa
Aaj Muze Apane Hee Dil Me, Ek Nayaa Insaan Milaa
Pahuchaa Hoo Wahaa, Naheen Door Jahaa
Bhagawaan Bhee Meree Nigaahon Se
Aaj Purani Rahon Se .........
Kaise Haseen Aaz
Lyrics :
Singer(s): MOHD RAFI, TALAT MEHMOOD
Kaisi Haseen Aaj Bahaaron Ki Raat Hai
Ek Chaand Aasmaan Pe Hai Ek Mere Saath
O Dene Waale Toone To Koi Kamee Na Kee
Ab Kissko Kya Mila Yeh Muqaddar Ki Baat Hai
Chhaaya Hai Husn-O-Ishq Pe Ek Rang-E-Bekhudi (2)
Aate Hai Zindagi Mein Yeh Aalam Kabhi Kabhi
Har Ghum Ko Bhool Jaao Khushi Ki Baaraat Hai
Ek Chaand Aasmaan Pe Hai Ek Mere Saath
Aayi Hai Woh Bahaar Ke Naghme Ubal Pade
Aisi Khushi Mili Hai Ke Aansoo Nikal Pade
Hothon Pe Hai Duwaayeh Magar Dil Pe Haath Hai
Ab Kissko Kya Mila Yeh Muqaddar Ki Baat Hai
Masti Simat Ke Pyaar Ke Gulshan Mein Aa Gayi (2)
Meri Khushi Bhi Aap Ke Daaman Mein Aa Gayi
Bhavra Kali Se Door Nahin Saath Saath Hai
Ab Kissko Kya Mila Yeh Muqaddar Ki Baat Hai
Kaisi Haseen Aaj Bahaaron Ki Raat Hai
Ek Chaand Aasmaan Pe Hai Ek Mere Saath
Kal Ke Sapne
Lyrics :
Singer(s): LATA MAGESHKAR
Kal Ke Sapane, Aaj Bhee Aanaa
Pareetam Ko Bhee, Saath Mein Laanaa
Aaj Bhee Din Hai, Madhur Suhaanaa
Baaj Rahee Hai, Man Kee Baasureeyaan
Nainon Ke Tat Pen, Parem Ke Rath Pen
Laut Ke Ab To, Aa Jaa Saawareeyaan
Mai Bhee Sunaaoo, Dil Kaa Taraanaa
Zoomate Baadal Gaate Zarane
Aaj Kisee Ko Dhoondh Rahe Hai
Mai To Ye Jaanoo Saare Najaare
Sajanaa Tum Hee Ko Dhoondh Rahe Hai
Aaj Muze Bhee, Daras Dikhaanaa
Meree Nagareeyaan, Aa Mere Rasiyaa
Dagar Dagar Mai, Aakhiyaan Bichhaoo
Dil Mein Bithhaa Ke, Nain Milaa Ke
Janam Janam Kee Pyaas Buzaaoo
Tohe Sikhaaoo, Pareet Nibhaanaa
Karee Badrareeyan
Lyrics :
Singer(s): LATA MANGESHKAR,
Kaaree Badareeyaan, Maare Lahareeyaan, Moraa Jiyaaraa Udaa Jaaye Re
Dheere Se Chal Aree Bairee Pawan Moraa Goraa Badan Khulaa Jaaye Re
Bheegaa Bheegaa Mausam Ye Din Alabele, Jiyaa Naheen Laage, Saawan Mein Akele
Pee Kee Pukaar Kare Paapee Papeehaa, More Dil Ko Bedardee Jalaaye Re
Kalee Kalee Bhanwaraa Jo Dolan Laage, Meethhee Meethhee Peedaa Karajawaa Mein Jaage
Manawaa Kaa Kaam Yahee, Sochoo Main Raam Koee Moree Nagareeyaan Basaaye Re
Piyaa Been Fikee, Ye Sajadhaj Moree, Itaut Bhatake Jawaanee Nigodee
Chadhatee Umar Liye Jaaye Udhar, Jahaan Raaton Ko Nindeeyaan N Aaye Re
Main Toote Huyi Ek Naiya
Lyrics :
Singer(s): MOHAMMAD RAFI
Main Tooti Hui Ek Naiya Hoon, Mujhe Chaahe Jidhar Le Jaao (2)
Jee Chaahe Duubo Do Maujho Mein, Ya Saahil Par Le Jaao
Main Tooti Hui Ek Naiya Hoon, Mujhe Chaahe Jidhar Le Jaao
Ek Tum Hi Sahara Ho Mera, Jeevan Ki Andheri Raaton Mein
Duniya Ki Khushi Taqdeer Ka Ghum, Sab Kuch Tumhare Haathon Mein
Ab Chaahe Idhar Le Jaao Mujhe, Ya Chaahe Udhar Le Jaao
Main Tooti Hui Ek Naiya Hoon, Mujhe Chaahe Jidhar Le Jaao
Maayoos Nazar Majhboor Kadam Ujadaa Hua Aalam Hai Dil Ka
Jeena Bhi Yeh Koi Jeena Hai, Mooh Dekh Saku Na Manzil Ka
Beete Hue Din Mil Jaaye Jahaan, Mujhe Aisi Dagar Le Jaao
Ho Mujhe Aisi Dagar Le Jaao
Main Tooti Hui Ek Naiya Hoon, Mujhe Chaahe Jidhar Le Jaao
Aansoo Na Bahaao Mere Liye, Ghum Mujhko Akele Sehne Do
Toote Na Tumhara Nazuk Dil, Yeh Dard Mujh Hi Tak Rehne Do
Ab Chhod Do Mujhko Raahon Mein, Ya Door Nagar Le Jaao
Ya Door Nagar Le Jaao
Main Tooti Hui Ek Naiya Hoon, Mujhe Chaahe Jidhar Le Jaao
Na Aadmi Ka Koi Hai Bharosa
Lyrics :
Singer(s): MOHD. RAFI
Teree Mohabbat Pe Shak Naheen Hai, Teree Wafaaon Ko Maanataa Hoo
Magar Tuze Kis Kee Aarajoo Hai, Main Ye Hakikat Bhee Jaanataa Hoo
Naa Aadamee Kaa Koee Bharosaa, Naa Dosatee Kaa Koee Thhikaanaa
Wafaa Kaa Badalaa Hain Bewafaee, Ajab Jamaanaa Hain Ye Jamaanaa
Naa Husn Mein Ab Wo Dilakashee Hai, Naa Ishk Mein Ab Wo Jindagee Hai
Jidhar Nigaahen Uthhaa Ke Dekho, Sitam Hain Dhokhaa Hain Berukhee Hai
Badal Gaye Jindagee Ke Nagmein, Bikhar Gayaa Pyaar Kaa Taraanaa
Dawaa Kaa Badale Mein Jahar De Do, Utaar Do Mere Dil Mein Khanjar
Lahoo Se Sinchaa Thaa Jis Chaman Ko, Uge Hain Shole Us Hee Ke Andar
Mere Hee Ghar Ke Chiraag Ne Khud, Jalaa Diyaa Meraa Aashiyaanaa
0 comments:
Post a Comment