Sunday, 22 April 2012

Bhaiya Mere Raakhi ( Choti Bahen - 1959 )









bhaiyaa mere, raakhii ke ba.ndhan ko nibhaanaa

bhaiyaa mere, chhoTii bahan ko na bhulaanaa

dekho ye naataa nibhaanaa, nibhaanaa

bhaiyaa mere...



ye din ye tyohaar khushii kaa, paavan jaise niir nadii kaa

bhaa_ii ke ujale maathe pe, bahan lagaae ma.ngal Tiikaa

jhuume ye saavan suhaanaa, suhaanaa

bhaiyaa mere...



baa.Ndh ke hamane resham Dorii, tum se vo ummiid hai jo.Dii

naazuk hai jo daa.Nt (?) ke jaise, par jiivan bhar jaae na to.Dii

jaane ye saaraa zamaanaa, zamaanaa

bhaiyaa mere...



shaayad vo saavan bhii aae, jo bahanaa kaa ra.ng na laae

bahan paraae desh basii ho, agar vo tum tak pahu.Nch na paae

yaad kaa diipak jalaanaa, jalaanaa

bhaiyaa mere...

0 comments:

Post a Comment