Unke Hontho Pe Mera Naam Jab Aya Hoga..
Khudko Ruswayi Se Phir Kaise Bachaya Hoga..
Sounke Fasana Auro Se Merii Barbadi Ka..
Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga?
Hindi Break Up SMS
Bhool jane ka tujhe koi irada na tha,
Tere siva kisi se kiya wada na tha.
Nikaal dete Dil se shayed tumhen KHAYAL,
Par is kambakht dil mein koi Darwaza na tha…
160 Character Hindi Break Up SMS
Har ek muskurahat muskaan nahi hoti,
nafrat ho ya mohabbat asaan nahi hoti,
ansoo gham ke aur khushi ke ek jaise hote hai,
inki pehchan asaan nahi hoti…
Break Up SMS in Hindi
Aankhen hansti hai magar dil yeh rota hai,
Mante hai jise hum manzil apni,
Humsafar uska koi aur hota hai…….
`
Aisi bewafaai ki ussne ,
Mohabbat bhi badnaam ho gayi….
Apni mohabbat ki itni kimat vasool ki usne,
Ke hamari arthi bhi nilaam ho gayi……
`
Apni yadaain apni batain lay kar jana bhool gayqa.
Janay wala jaldi main tha mil kar jana bhool gaya.
Mur mur kar daikha tha usnay jatay jatay rastay main.
Jaisay usnay kahna tha kuch jo wo kehna bhool gaya.
`
Bahut hai zara si nafrat teri,
Hum ko mitane ke liye ! Ae dost !
Ek najar jo mile tere payar ki,
Maut se bhi daman chhuda lenge hum !
`
Beqadar Hogaye Hain Kuch DOST Hamare,
Jo Hamari Zarurat Tak Mehsoos Nahi Karte,
Kabhi Bohat Batien Kiya Karte The Hum se,
Ab to yaad Tak Nahi Karte!
`
Chup Hontho ki juban ye ansoo hote hain
Jo chup rahte hain fir bhi behte hain
Aur in aasuon ki kismat to dekhiye
Ye unke liye behte hain jo in ankhon mein rehte hain …
`
Har ek muskurahat muskaan nahi hoti,
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahi hoti,
Ansoo gham ke aur khushi ke ek jaise hote hai,
Inki pehchan asaan nahi hoti…..
Hindi Break Up Sms
Wo Karte Hain Baat Mohabt Ki,
Par Mohabt K Dard Ka Unhein Ehsaas Nhi,
Mohabt Wo Chaand Hai Jo
Dikhta Hai Sb Ko,
Pr Usey Pana Sb K Bus Ki Baat Nhi.
`
Main us k Haathon me tha!
Tute hue Sheeshe ki trha “Faraz”
Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega!
Bus giraya kuch is Ada se k
Simatne ki Aaas hi na rahi..
`
Meri Taqdeer
Mere hi hathon pey likhi hai taqdeer meri,
aur meri hi taqdeer par mera bus nahi chalta
0 comments:
Post a Comment