Zindagi Aur Bata Tera Irada Kya Hai?
Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile
Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Jo b Taqdeer banata hoon, Bigar jaati hai
Dekhte Dekhte Dunya hi Ujar jaati hai
Meri Kashti, Tera Toofaan se Wada kya hai
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Tu ne jo Dard dya, uski Qasam khata hoon
Itna zyaada hai ke, Ehsaas daba jata hoon
Meri Taqdeer bata, Aur Takaaza kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Mai ne Jazbaat k Sang khelte Daulat dekhi
Apni Aankhon se Mohabbat ki Tijaarat dekhi
Aisi Dunya mai Mere waaste rakha kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Aadmi chahe to Taqdeer badal sakta hai
Poori Dunya ki wo Tasveer badal sakta hai
Aadmi soch to le, uska Iraada kya hai?
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyaar mile
Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile
Zindagi Aur Bata Tera Iraada Kya Hai?
Hindi Ghazal
Jawab Chahye…
Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye
Tumarey Dil mai thori si jaga chahye
Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey
Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye
Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain
Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye
Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai RAZA
Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye Mujhe
Beautiful Ghazal: Teer Chahiye Nahi..
Doston Aap Logon ke Piyaar Ne Mujhe
Bahut Himmat Afzai Ki Hai Jis Ke Liye Mai
Aap Ki Bahut Shukar Guzar Hoon.Aap Ki Bazm Me
Mai Aaj Sajid Sahab Ki Ghazal Lai Hon ummed Ke Pasand Aaye gi…
Beautiful Ghazal:Teer Chahiye Nahi..
Teer Chahiye Nahi Talwar Chahiye
Hona Ho Sar Boland To Bas Piyar Chahiye
Shair Chahiye Nahi Funkar Chahiye
Duniya Ko Aaj Sirf Gulokar Chahiye
Qasr Chahiye Nahi Darbar Chahiye
Hum Ko To Ek Jhalak tera Dedar chahiye
Mujh Ko Na Taqt Aur Na Darbar Chahiye
Galib Ke Aur Meer Ke Ashaar chahiye
Meri yehi Dua Hai Shifayab Hon Sabhi
Kaheta Hai Har Tabeeb Ke bimar Chahiye
Aasanion Se Lutf Na Ayega Piyar Me
Hum Ko Rahe Piyar Bhi Dushwar Chahiye…
Ghazal: Ajnabi ki Dosti Acchi Lagne Lagi…
Hame ek ajnabi achi lagne lagi,
unki bathein dil ko chu ne lagi,
dosti tho na thi par hone lagi,
reply jab atha hai tho ek
ajeeb se khusi mehsoos hone lagi.
DOSTI tho na thee par hone lagi.
sab dosti se payari ek
Ajnabi ki dosti acchi lagne lagi..
Ab ajnabi ka shayar kehna achha laga…
Apne naam se zayada shayar sunna acha laga..
Hum tho shayar hai bhad me
Dost app ne SHAYAR kaha wo lafz acha lagaa…
Humne tho apna naam zahir kardiya
Sunne ki jo ho kwashih ap ka naam
Wo ab apse keh diya..
Dil ne b apni choti si jagah me
Aap k naam kabza kar ne laga…
Ek ajnabi dost hame call karega
Ab barosa hone lagaa…
Ab dil tho diwana hone laga….
Dosti ek ajnabi se jo karne lagaa…
Kayaal rakne ko kehthe hoo….
Call tho karthe hoo,
Magar mizaz puchna bhool jate ho
Dost tho manthe hoo
Magar dosti jatana bhool jathe hoo,
Aye Qudha ye kaisa ajnabi dost ham ne paya hai…
Kayaal rakne ko kehtha hai
Magr baat karne ko darta hai…
Hum b tho unke dost hai Phir kyun
Ye yaad dilana padtha hai..
Hindi Ghazal – Zindagi ka yehi tarana hai…
Zindagi ka yehi tarana hai
Gam uthana hai muskrana hai.
Rop tera bada suhana hai
Tujh pe qurban ye zaman hai.
Kis qadar pyaar mera sachcha hai
Aaj dil bar ko aazmana hai.
Tujh ko paon ya tera hojaon
Zindagi ka yehi fasana hai.
Is tarah se na muskuraya karo
Jaan lewa ye muskurana hai.
Aarzi hai ye dunya aye lugon
Har kisi ko yahan se jana hai.
Arzoo hai yehi meri Danish
Dust dushman ko bhi banana hai.
Hindi Gazal
Thaharo satao na itna sanam humko.
Sayad he sah payenge,Jaharile is gum ko.
Mehbub khata kya hai,duniya ko batalao.
Thaharo mai kadam chumu,feer karana jo chaho.
Jyada na dhadakao,sanso ki saragam ko.
Jajbaton ke shole,ab her pal bhadakenge.
Tarase the jo naina ab,nis din barasenge.
Her vakt pukarenge humjoli hum-dam ko.
Neha Shah
Samjho Ghazal Hoi
Miley kisi se Nazar to samjho Ghazal hoi
Rahe na apni Khabar to samjho Ghazal hoi
Mila ke Nazron ko walehana Haya se phir
Jhuka ley koi Nazar to samjho Ghazal hoi
Idhar machal ker unhein pukare Junoon Mera
Dharak uthe Dil Udhar to samjho Ghazal hoi
Udaas Bistar ki Silwatein jab Tumhein Chubhein
Na Soo sako Raat bhar to samjho Ghazal hoi
Wo Bad-Guman ho to Shair soojhe na Shayari
Wo Meherbaan ho Zafar to samjho Ghazal hoi
Kya farq padta hai…
Hawa ban kar bikharney se
Usey kya farq parta hai
Mere jeeney ya marney se
Usey kya farq parta hai
Usey to apni khushiyon se
Zara bhi fursat nahi milti
Mere gham ke ubharney se
Usey kya farq parta hai
us shaks ki yaadon mein
Me chahe rotey raho lekin
Tumhare aisa karney se
Usey kya farq parta hai…
Hai Haqiqat me wohi pyaar ko pane wale
Hai Haqiqat me wohi pyaar ko pane wale
Apne mahboob ko palkon pe bitahne wale
Dil ki wirani ko qushion se sajane wale
Ishq ka rog jo qud ko hai lagane wale
Zikr tera bhi wafa walon me hoga aye dost
yaad me bewafa ke deep jalane wale
tere qudmon me ye sara jahan huga ek din
maa ke hunton pe tabassum ko sajane wale
pyaar-o-ulfat wafa humdardi muhabbat ye sab
kon hai duniya me ab in ko nibhane wale
Thak Gai Hoon Main….
Nahi jina muze thak gayi hu
Raah takte takte roz mar rahi hu
Zalim kya rog laga gaya tu
jakar bhi roz yaad aata he tu..
Ajab DURIYAN hain ye halaat ki…
Nazar bhar k dekha na kuch baat ki..
To kyo aarzu ki mulakat…
Ye rasman bhi koi nahi puchta…
Kahan din guzara??
Kahan raat ki………
Pata ye chala vo to ha SANGDIL
Use kadr kya mere JAZBAAT KI………..
Tumhe pa k bhi hum akele rahe…………………..
Ajab DURIYAN hain ye halaat ki……..,,
Kasam hai na bulegi ”
MALIKA” Kabhi
Jo ghadiyan guzari tere sath ki………………….!!!!
Kisay Pukarein Hum (Ghazal From Neelgoon)
Kisay Pukaarein Hum Is Hujoom-e-Gham Mein
Ke Sub Hi Hamaray Aazamaye Huey Hain
Tum Hi Ne Hamein Kar Diya Tanha
Warna Hum To Ta’alluq Nibhaey Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girtay
Ke Hum Apna Gham Sub Se Chupaey Huay Hain
Un Shaano Tak Ab Rasaai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
Hum Karein Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
Ke Zamane Se Dhokay Khaaey Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Dar
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
Ab Dast-e-Shanasai Na BaRhayein Gay Hum
Ke Zamane Bhar Se Thukraye Huey Hain…
Something touches your heart…
Zindagi sabhi ko mili ho ye zaroori to nahi
aag gulshan mai baharen bhi laga sakti hai
Sirf Bijli hi giri ho ye zaroori to nahi
Neeend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
Teri aahosh mai hi sar ho ye zaroori to nahi
Gazlon ka hunar saki ko sikhayenge
roange magar aansu nahi aayenge
Keh dena samandar se, Hum Oas ke moti hai
Dariya ke tarah tughse milne nahi Aayenge
Aachi surat ko sawarne ki zaroorat kya hai
Sadgi bhi to kayamet ke ada hoti hai
A Beautiful Ghazal…
Apna ghar, apna gaon, apne log
inki keemat, toh, wo pardeshi jaante hain,
Choot gayi rozi roti ki talaash me,
Sarzami jinki darbadar ho,
Banatey hai ghonsla kisi or saakh pe.
Par kya itnaa aasaan hota hai,
pardesh me ghar basaanaa.
Takleef toh wo hi jaanta hai
Choota hai jiska ghar gaon.
khuda tujhe mai nahi maanta.
Par fir bhi ek iltiza tujhse
Sab ko de roti apne hi gaon me .
lamhe…
Chandini Raatoun Me Kuch Bheege Qiyaloun Ki TarahMein Ne Chaha Hai Tumhe Din ke Ujaloun Ki TarahGuzre The Jo Kuch Lamhe Tumhare SathMeri Yaadoun Me Chamakte Hain Woh Sitaroun Ki TarahAshk Behte Hain Aankhoun Me Nadiyoun Ki TarahTere Aane Ki Qabar Aayi Hai Jab BhiMein Jee Uthi Hoon Insanoun Ki TarahTujh Se Bichad Ke Kahin Chain Naa AayaMein Dhoondti Phir Rahi Hoon Tumhe Deewanoun Ki Tarah
Muhabbat ko Sapna samjha..
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne
Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne?
Zakham iskadar mohabbat ne diye
Hum ne in zakhmo ko phool samjha
Mohabbat ki chik o pukaar iskadar thi
Ke ass pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne
Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye
Har chamakti chiz ko sona samjha hum ne
Dewaana iskadar mohabbat ne bannaya humko
Ke apno ko begana samjha hum ne
Mohabbat ki yaadein dil par kuch you naksh kar Gaye.
Ke on ko bhulane ki khoshish main
Khod ko bhula diya hum ne..
Kaash hum tum ajnabi hote !
Kaash hum tum ajnabi hote,
Jis tarhan log hua karte hein…
Be taAlluq sey, be taArruff sey.
Kaash hum tum ajnabi hote!
Be qaraari na be kali hoti,
Na mukammal, na Zindagi hoti…
Yun na hoti azyatein Dil mein.
Zindagi bhi na hoti mushkil mein!
Aansu’on se na dosti karte,
Apne Dil se na dushmani karte…
Doosr’on ki tarha hum bhi khush rehte,
Kaash hum tum ajnabi hote…!!!
Yahoo Ki Wo Mulakatein
Yahoo Ki Wo Mulakatein
Wo Pyar Bhari Batein
Wo Loging Hony Ka Intzaar
Wo Intzaar Ki Saaetein
Kaho Kya Bhool Jao Ge?
Wo Farzi Naam Ka Btana
Haha Likh Ker Jhoota Qehqaha Lagana
Wo Asl Poochny Par
Apni Umar Ko Aor Kam Btana
Kaho Kya Bhool Jao Ge?
Wo Pyar Bhari Tehreerien
Wo Yahoo Ki Emotion Tasweerein
Wo Nick Mein Haal-E-Dil Likhna
Wo Net Ko Fast Karny Ki Tadbeerien
Kaho Kya Bhool Jao Ge?
Wo Typing Se Unglion Mein Dard Hona
Kisi Baat Per Gusay Se Chehry Ka Zard Hona
Lafz Sorry Ka Screen Par Atay Hi
Lehjay Ka Phir Se Sard Hona
Kaho Kya Bhool Jao Ge?
Wo Jaagna Roz Raton Mein
Wo Chalakna Pyar Baton Mein
Wo Type Karty Karty
Lena Mouse Hathon Mein
Kaho Kya Bhool Jao Ge?
Wo Yahoo Pe Doosron Ko Ignore Karna
Har Jumley Par Bohat Ghor Karna
Wo Dil Per Hath Rakh Kar Bye Kehna
Aor Zara Der Aor Rukny Per Zor Karna
Kaho Kya Bhool Jao Ge?
Tumhary Login Hotay Hi
Dostoon Ka Wo Jhumgutha Lag Jana
Tum Se Bat Karny Ki Khatir
Sir Dard Ka Wo Jhoota Bahana
Kaho Kya Bhool Jao Ge?
Bewaja Ki Batoon Per Takraar Karna
Baar Baar Net Meeting Per Israar Karna
Wo Roman Urdu Mein Ki Gayi Batein
Pyar Ka Dabay Lafzon Mein Izhar Karna
Kaho Kya Bhool Jao Ge?
Wo Doston Se Tumhara Id Chupana
Kabhi Font Badalna Kabhi Gungunanaa
Der Se Jawab Anay Per
Busy Hony Ka Ilzam Lagana
Per Lagta Hai Tum Bhool Gaye��
Yahoo K Aanchal Per Likhi Hoyi Kahani
Per Mujh Ko Yad Hai Har Ik Lafz Zubani
Khudara Na Tum Aisa Sitam Karo
Jab Kabhi Dekhu…
JAb Kabhi Dekhu Haath kii Hatheliyo Ko
Toh Khaali Yeh Nazar Aati Hai….
Suni Suni See Lakiro Per….
Kismat Sunati Apni Kahani Hai..
Poochhti hai Fasana Mujhe See hii……
Meri Tenha Zindgani Kaa…..
Hotho Sey Toh Has Deyta Hu….
Per Aankhey Such Bahati Hai…….
Kabhi Yu heee nikal padta hu..
Tanhaahiyo Key Saath Apni..
Or Saath Hii Khamoshiyaa Bhii
Perchhaaiyo Mey Nazar Aati Hai..
Her Pal BeyBus Hai….
Entzaar Mey Jiskey….
Woh Toh Ab Tak …Anjaan ;Hii Hai..
Kii Entzaar Mey Kisi Key..
Jaan Aaj Bhii Kisi Kii Jaati Hai…
Umeedo Sey Naata Toh Bahut
Pehley Hii Chhut Chuka Thaa…
Dhuli Dhoop Mey Dekhta Thaa
Jo Chehra Kabhi ……….
Ab Toh Sapne Mey Maayushi Hiii Nazar Aati Hai….
Sunoo…..
Sunoo…
Hum toot jain gay…
k dori seh na pain gay
JUDAI MAR DALAY GI
Sunoo….
Ya ankhain bojhal hain
Inhain kis tarha behlain
Sunoo….
Hum so na pain gay
Kabhi khush ho na pain gay
JUDAI MAR DALAY GI
Sunoo….
Ya DIL tumhara hay
Na tum bin ab guzara hay
Sunoo….
Kuch wakt do hum koBana lain dost is gham ko
Hamain maloom hay akhir
JUDAI MAR DALAY GI
Suntay ho na?
Samujhtay ho na?
JUDAI MAR DALAY GI
Phoolon Ko Tohfa—- Happy New Year 2009
Unko humse muhabbat hone to do,
Phoolon ko tohfa hum denge.
Khwaab aankhoo ko koi sanjone to do,
Phoolo ko tohfa hum denge
Hai dil main tamanna ye baki abhi,
Ke humpe kabhi wo karange karam.
In saanso pe hai bas ikhtiyaar unka
Bas uski hi khatir hum lete hain dum.
Unki nazare inayat hone to do,
Phoolo ko tohfa hum denge.
Naaz hai humko mahboob pe apne,
Koi bhi janha mai us jaisa nahi hai.
Hotho se pila kar jo madhosh kar de,
Aankhon mein uski wo maykashi hai.
Jawan mohabbat ka daraft hone to do,
Phoolo ko tohfa hum denge.
Khuda ka hua humpe karam dosto,
Aisa dilnashi jo haasil hua.
Khuda ne banaya usko mere liye,
Wo to bandgi ke kaabil hua.
Buland apni kismet hone to do,
Phoolo ko tohfa hum denge.
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gila Rakhainge
Is Zamane Say Na Hum Koi Gila Rakhange
Dil Lagayein Gain To Na
Shart-E-Wafa Rakhange
Na Dikhayange Kabhi Dil Pe Lage Zakhm
Unhe
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhange
Jaan De
Daingay Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhange
Sab Hata Dainge Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke
Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhainge
Unki Har Baat Ko Bhoolay Say
Na Bhoolainge Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhainge
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi
Hawaaon Main Jala Rakhainge
cheers…….!
ik Gazal us pe likhuu
ik Gazal us pe likhuu.N dil kaa takaazaa hai bahut
in dinon Khud se bichhar jaane kaa dharakaa hai bahut
raat ho din ho Gafalat ho ki bedaarii ho
usko dekhaa to nahiin hai use sochaa hai bahut
tashnagii ke bhii muqaamaat hain kyaa kyaa yaanii
kabhii dariyaa nahiin kaafii, kabhii qatraa hai bahut
mere haathon kii lakiiron ke izaafe hain gavaah
main ne patthar kii tarah Khud ko taraashaa hai bahut
Hindi Shayari
terii Khushbuu kaa pataa kartii hai
mujh pe ehasaan havaa kartii hai
shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa kartii hai
dil ko us raah pe chalnaa hii nahii.n
jo mujhe tujh se judaa kartii hai
zindagii merii thii lekin ab to
tere kahane me.n rahaa kartii hai
us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
dil kaa ehavaal kahaa kartii hai
beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
ret par naam likhaa kartii hai
shaam parte hii kisii shaKhs kii yaad
koochaa-e-jaaN mein sadaa kartii hai
mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
haal jo teraa ana??? kartii hai
dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
baat kuchh aur huaa kartii hai
abr barase to inaayat us kii
shaaKh to sirf duaa kartii hai
masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
faisalaa sirf havaa kartii hai
Some Nice Jokes in Shayaries Style….
Makhi aur Machar
Machar aur Makhiki ho gayi shadi.
Pehli hi raat se ho gayi machar ki barbadi,
kehta hai ki meri kismat hi khoti hai,
makhi raat ko goodnight lagake soti hai.
What a Women Want
6″-6.2″ jis ki height ho,
jeans dheeli magar body tight ho.
biwi ka har nakhra uthaye,
itna mizaaj us ka light ho.
HUSBAND AISA APNA BRIGHT HO……..
uff tak na kare itna quite ho,
dinner banaye wo jab bhi romantic night ho.
shopping ker k jab bhi aaoon,
bolay,”tum kitni nice ho”.
HUSBAND AISA APNA BRIGHT HO…….
hamesha jo haar maan jaye,
jab bhi kabhi fight ho.
saas sasur se agar karoon koi baat,
bole begum tum hi bus right ho.
HUSBAND AISA APNA BRIGHT HO…….
Arz Kiya Hai….
Na woh inkaar karti hai
Na woh inkaar karti hai
KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar
Mere dost se pyaar karti hai.
Jab Jab gire Baadal, Teri Yaad aayi
Jhoom ke barsa Saawan, Teri Yaad aayi
Bheega main,lekin phir bhi teri Yaad aayi
Kyon na aaye teri yaad?
Tune jo chatri ab tak nahi lautai…
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Yahan likhna mana hai.
Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,
Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
Wo to hamare ho na sake,
Hum kutton ke sardar ho gaye…
Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
to hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki nazare hi tirchhi hai,
to hum behosh ho gaye…
Arz kiya hai, Door se dekha to santra tha, pass jake
dekha to santra tha,
cheel ke dekha to bhi santra tha, Khake dekha to bhi
santra tha.
Wah kya santra tha
Macchar ne jo kata… dil main mere junoon tha.
Khujli hui itni… dil be sukoon tha.
Pakada to chod diya yeh soch kar ki….
sale ki ragon main apna hi khoon tha!
Khuda kare tera mobile kho jaye.
Mile mujhe aur mera ho jaye.
Karu SMS ladkion ko naam tera aae.
Maar tujhe pade
Aur kalejamera thanda ho jae.
Jab Jab tum angdai lete ho dam hamara nikal jata hai.
Aye Jalim Deodrant lagane me tumhara kya jata hai ?
unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
unkigali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
unhoon ne phool phainka par gamla bhi saath tha !
Bhul Jata Hoon…..
Zaroori Kaam hai lekin Rozana Bhul jata hun
Mujhey tum se Mohabbat hai batana Bhul jata hun
Teri Galion Mein Phirna itna ahca Lagta hai
Mein Rasta Yad Rakhta hun thikana Bhul jata hun
Bas itni baat per main Logon ko ahca nahi lagta
Mein neki kar tu deta hun Jatana Bhul jata hun
Shararat le ke Ankhon main wo Tera Dekhna touba
Mein Nazron pe jami Nazrein jhukana Bhul jata hun
Mohabat kab hui Kesay hui sub yad hai mujh ko
Mein kar k Mohabat ko Bhulana Bhul jata hun.
Beautiful Ghazal
Apna keh ker ab kis ko pukaroon gi mai…
Apna keh ker ab kis ko pukaaroon gi main
Yai zindagi hai katthin,issey kis terha guzaroon gi main
Koi miley sachchahamderd or maseeha jo mujhey
Baakhuda hoasla, phir na kabhi haroon gi main
Meri zindaagi kai hain bas chund roz hi baaqi
Phir ab! inhain kis kai liyai sanwaaron gi main
Mujhey Apni jaan piyaari nahi hai phir bhi
Yai qeemti shay hai, issey kis pai waroon gi main
Mah ko koi tujh sa nazer nahi aata
Yai bataa! terey badley kisko pukaroon gi main.
0 comments:
Post a Comment