Thursday, 19 April 2012

Hindi Lyrics of movie TAREEF US KHUDA KI



Ab Toh Mere Khuda Lyrics



Lyrics :



Singer(s): JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH



ab toh mere khuda mujhe jalwa dikhaaiye

apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye



kuch keh rahi hain aap se seene ki dhadakanen

mera nahi to dil ka kaha maan jaaiye

apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye



main jaanta hoon tu bada rahamat-navaaz hai

sab ke dilon pe raham ka jaadu jagaaiye

apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye



muddat se tishnagi hai tumhaare jamaal ki

noor-e-kamaal se zara parda uthaaiye

apne namaaziyon ka kaha maan jaaiye









Chiraag Dil Ke Jalaao Lyrics



Lyrics :



Singer(s): JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH



chiraag dil ke jalaao ki eed ka din hai

taraane jhoom ke gaao ki eed ka din hai



gamon ko dil se bhulaao ki eed ka din hai

kushi se bazm sajaao ki eed ka din hai

taraane jhoom ke gaao ki eed ka din hai



huzuur us ke karo ab salaamati ki dua

sar-e-niyaaz jhukaao ki eed ka din hai

taraane jhoom ke gaao ki eed ka din hai



sabhi muraaden ho pooreen har ek savaali ki

dua ko haath uthaao ki eed ka din hai

taraane jhoom ke gaao ki eed ka din hai







Duniya Se Dil Lagakar Lyrics



Lyrics :



Singer(s): JAGJIT SINGH



duniya se dil laga kar duniya se kya milega

yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega



daulat ho ya hukuumat, taaqat ho ya jawani

har cheez mitne wali, har cheez aani-jaani

ye sab gurur ek din mitti mein ja milega

yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega



aata nahi palat kar guzra hua zamana

kya khwab ka bharosa, kya maut ka thikana

ye zindagi ganva kar kya faayada milega

yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega







Madeene Ko Jaayen Lyrics



Lyrics :



Singer(s): CHITRA SINGH



madeene ko jaayen ye ji chaahata hai

muqaddar banaayen ye ji chaahata hai



madeene ke aaqaa, do alam ke maula

tere paas aayen ye ji chaahata hai

madeene ko jaayen ye ji chaahata hai



jahaan donon aalam hain mahv-e-tamanna

vahaan sar jhukaayen ye ji chaahata hai

madeene ko jaayen ye ji chaahata hai



muhammad ki baaten, muhammad ki seerat

sune aur sunayen ye ji chaahata hai

madeene ko jaayen ye ji chaahata hai









Sunte hain ke mil jaati hai Lyrics



Lyrics :



Singer(s): JAGJIT SINGH & CHITRA SINGH



Sunte hain ke mil jaati hai

har cheez dua se

Ek roz tumhain maang ke

dekhenge Khuda se



Duniya bhi mili hai,

gham-e-duniya bhi mila hai

Vo kyon nahin milta

jise maanga tha khuda se



Sunte hain ke mil jaati hai

har cheez dua se

Ek roz tumhain maang ke

dekhenge khuda se







Tujhe Dhoondhata Tha Main Lyrics



Lyrics :



Singer(s): JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH



tujhe dhoondhata tha main chaar su

teri shaan jall-e-jalaalahu



tu mila qareeb-e-rag-e-gulu

teri shaan jall-e-jalaalahu

tujhe dhoondhata tha main chaar su



teri yaad mein hai kali kali

hai chaman-chaman hoo-al-ali

tu basa hai phool mein hoobahu

teri shaan jall-e-jalaalahu

tujhe dhoondhata tha main chaar su



tere huqm se jab hawa chali

to chatak ke boli kali kali

hai kareem tuu, hai raheem tuu

teri shaan jall-e-jalaalahu

tujhe dhoondhata tha main chaar su



tera jalawa donon jahaan mein hai

tera noor kaun-o-makaan mein hai

yahaan tu hi tuu, wahaan tu hi tu

teri shaan jall-e-jalaalahu

tujhe dhoondhata tha main chaar su





Zara Chehare Se Kamli Lyrics



Lyrics :



Singer(s): JAGJIT SINGH, CHITRA SINGH



zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah

hamein bhi apna deevaana bana do ya rasoolallaah

zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah



muhabbat gair se meri chuda do ya rasoolallaah

meri soyi hui qisamat jaga do ya rasoolallah

zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah



badi qisamat hamaari hai ke ummat mein tumhaari hai

bharosa deen-o-duniya mein tumhaara ya rasoolallaah

zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah



andheri qabr mein mujh ko akela chod jaayenge

vahaan ho fazl se tere ujaala ya rasoolallaah

zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah



kuda mujh ko madeene mein jo pahunchaaye to behatar hai

ke roze par hi de doon jaan ja kar ya rasoolallaah

zara chehare se kamali hata do ya rasoolallaah













0 comments:

Post a Comment