sataye koi bhi mujhko rula nahi sakta
haseen taaj mahal ke banane wala bhi
dilon ke toote gharounde bana nahi sakta…
Kisi ne humse puchha…
Kisi ne humse puchha,
Vaade aur Yaadein me kya fark hai?
Hum ne kaha Vaade insan todta hai,
Aur Yaadein insan ko tod deti hain…
Sher samajh aata hai…
Jab dil mein hai dard kehlaata hai
palkon pe aate hi ashk ban jata hai
de do jo tum ise likhai ka roop to
safhe pe aate hi sher samaj aata hai…
Kuchh Sher…
Dil abhee pooree tarah TooTaa naheen
Doston kee meharbaanee chaahiye
Aap ne jo gham diyaa hai shukriyaa
Pyaar kee kuchh to nishaanee chaahiye
`
Unhone vaadaa kiyaa thaa vo aayenge khwaab men
Ab to maare khushee ke neend hee naheen aatee
`
Roothne waalon se koyee jaakar poochhe
Wo khud hee roothe rahe yaa hamse manaayaa na gayaa
`
Na unko auron se fursat na apne gham se ham khaalee
Chalo achhaa bahaanaa hai na wo khaalee na ham khaalee
Sher jo maine college ke fish pond mein likhe the…
phool ho tum kaante bhi hai saath,
dekhta hoon mein ab kya aata hai mere haath.
————————
apni khoobsoorti pe tujhe hai abhimaan,
lekin tum kya jaano naadan,
ke tujhe chahane wale sab hai baimaan.
————————
daaton pe lagati ho taar,
phir bhi daanth nikalte hai bahaar. :)
————————
arz kiya hai…
arz kiya hai…
shayad uus khuda ne,
tujhe banane ke bad chand ko banaya,
tabhi to sabhi kehte hei,
ke chand to teri parchaai hei…
another one…
sham hote hi mee chirago ko buza deta hu,
sirf mera dil hi kaphi hei teri yaado mee jalne ke liye….
Sher o Shayari
Hein Chaand Tu Is Tarah
Itrakar Na Dekh,
Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein
Tummhe To Daag Hein,
Humne To BeDaag Dekhen Hein.
Dharti ki kasam khayi thi
Apka saath nibhane ki
Par apki thi kasam
Hamare dil ko tor jane ki…
Jab-jab yarron ki yaad aati hai
Teri yad hi sabse pehle satati hai
Koi yaad hame hansaye ya na hansaye
Teri yad hamesha hi rulati hai…
Yeh log bare bey dard hote hai
Jo ishq ko nahi samajte
Yeh ishq to aisa hota hai
Jisme mar jate hai log haste-haste…
Shero Shayari
Jinki yaad me hum dewane ho gaye,
wo hi hum se begane ho gaye,
shayad unhe talash hai ab naye dost ki,
kyunki unki nazro me hum purane ho gaye…..
Kuch Sher
Kabhi kabhi baatein adhoori reh jaati hain
Choo kar honthon ko juban khamosh reh jaati hai
Reh jaati hai keval Aankho mei nami
Aur yaadein dilon ko tadpaati hain
************************************
Sune koi geet, awaaj unki sunai deti hai
Chup ho gaye wo bin kuch kahe
bahut hairaan hum hain
Hote theh kabhi hum unke azeez
Aaj sirf khawobon ki baatien lagti hain
0 comments:
Post a Comment