Sunday, 22 April 2012

Usko Nahin Dekha Hamne Kabhi ( Daadi Maa - 1966 )







Usko nahin dekha hamne kabhi

par uski jaroorat kya hogi eh Maa

eh Maa teri surat se alag

Bhagwan ki surat kya hogi kya hogi

usko nahin dekha hamne kabhi



Insaan toh kya Devta bhi

anchal me pahley tere

hai swarg ishi duniya mein kadmo ke tahley tere

mamta hi lootaye jis pe naiyan

aisi koi moorat kya hogi eh Maa

eh Maa teri surat se alag

Bhagwan ki surat kya hogi kya hogi

usko nahin dekha hamne kabhi



Kyon dhoop jalaye dukhon ki

kyon ghum ki ghata barse

yeh haath duaon waley rahtey hai sadha sar pe

tu hai toh andhere path me hamey

suraj ki jaroorat kya hogi eh Maa

eh Maa teri surat se alag

Bhagwan ki surat kya hogi

usko nahin dekha hamne kabhi



Kahetey hain teri shaan me toh

koi oonchey bhol nahin

Bhagwan ke pas bhi Maata tere pyar ka mohl nahin

hum to yehi jaane tujhse badi

sansar ki daulat kya hogi eh Maa

eh Maa teri surat se alag

Bhagwan ki surat kya hogi kya hogi

usko nahin dekha hamne kabhi

0 comments:

Post a Comment