Wednesday, 11 April 2012

ANOKHA DAAN



Hamein Yaad Kabhi Tum Kar Lena Lyrics



Movie : ANOKHA DAAN





Lyrics :



Singer(s): LATA MANGESHKAR



hamein yaad kabhi tum kar lena jab rota huwa saawan aaye

ho bahaar aur raah mein koyi phool haay murajhaaye

hamein yaad kabhi tum



viraan safar mein jivan ke kab tak yuun akele chalate piya

lekar ham ye aakir tere bina haay aas ka bujhata sa diya

hamein yaad kabhi tum



dete hain duaa phir bhi tumako kushiyon ki umar lag jaaye tumhein

jo bhi tumako gam hon saare badale mein yahaan mil jaayein hamein

hamein yaad kabhi tum







Madabhari Ye Hawaayein Paas Aayein Lyrics



Movie : ANOKHA DAAN





Lyrics :



Singer(s): LATA MANGESHKAR



madabhari ye hawaaein paas aaein

naam lekar mujhako ye bulaayein

madabhari ye hawaaein



main ne raaton se kar li dosti taaron ke liye

aur chura ke liya mainne ye din bahaaron ke liye

ai zamin aasamaan mujhako do duwaaein

madabhari ye hawaaein



mainne laharon ki baahein thaam kar dhundhe hain bhanvar

saahilon pe kisi ajanabi ki talaashi hai dagar

kaash le kar unhe laharein laut aaein

madabhari ye hawaaein



0 comments:

Post a Comment