Tuesday, 24 April 2012

Aye Vatan Ke Naujavaano ( Baaz - 1953 )







o o aa

har zabaan ruki ruki, har nazar jhuki jhuki

kyaa yahi hai zindagi, kyaa yahi hai zindagi



aye vatan ke naujavaanon, jaag aur jagaa ke chal\- 2



(chorus: jaag aur jagaa ke chal)



zulm jis kadar badhe, aur sar uthaa ke chal



(Chorus: jaag aur jagaa ke chal)



(kaamp hai teri nazar, un ke dil men chor hai

un men bal hai, tere bhi baazuon zor hai) \- 2

zaalimon ka ghurur khaaq men mila ke chal

aye vatan ke naujavaanon.....



(kyaa samandaron ka shor, aur bhanvar ki chaal hai

tere aage sar uthaae, mauj ki majaal kyaa) \- 2

khol zindagi ki naav, baadabaan udaa ke chal

aye vatan ke naujavaanon.....



(kaaravaan vatan kaa aaj daakuon men ghir gayaa

zulm ke andhere men, aa rahi hai is sadaa) \- 2

inteqaam ka mashaal haath men jalaa ke chal



Chorus: inteqaam, inteqaam, inteqaam



aye vatan ke naujavaanon.....

0 comments:

Post a Comment