Saturday, 14 April 2012

Hindi Lyrics of movie HOLIDAY



Khwaahishon Se Yeh Suna Hain Lyrics



Lyrics :



Singer(s): KUNAL GANJAWALA, SHREYA GHOSHAL



khwaahishon se yeh suna hain

pyar humko ho raha hain

tum hi toh ho woh sapna jo

dekha hai jee bhi liya hain

tum hi toh ho woh lamha jo

ab zindagi ban gaya hain



raaston mein gunjata hain

pyar humko ho raha hain

tumhi toh ho savera jo

yeh rang naye de gaya hain

tumhi toh ho khazana jo

dil mein hi tha mil gaya hain

khwaahishon ne



khwaahishon se yeh suna hain

(ishaaron mein kehti hai paagal yeh hawaaen

chalo raaz sabko yeh jaake batayen) - 2

tum hi toh ho jo khwaabon ko

sang sang mere dekhtaa hain

tum hi toh ho jo raaton ko

tanhaaiya baant ta hain

khwaahishon se



dabe paanv dastak mohabbat ne sunaai

hain dehliz pe khwaab saare le aayi

ha dabe paanv dastak mohabbat ne sunaai

hain dehliz pe khwaab saare le aayi

tumh hi toh ho woh saaya jo saathi mera rehnuma hain

tum hi toh ho sitara jo roshan kare rasta hain



aasman pe yeh likha hain

pyar humko ho gaya hain

tum hi toh ho woh sapana jo

dekha hain jee bhi liya hain

tum hi toh ho woh lamha jo

ab zindagi ban gaya hain











Move With My Body Lyrics



Lyrics :



Singer(s): DOMINIQUE CEREJO



dehka dehka sa yeh sama

pighla dega aasmaan

ab toh aaja

move with my body

thoda junoon thoda nasha

thoda zehar thodi dawa

ab toh aaja

move with my body

let me take you down

turn you round and round

oh just come on now

move with my body

and take you down

turn you round and round

turn me round and round and round



aa zara sapna naya dekhen

lamha naya jee le saath mein

kya khabar baahon mein jo hain

kal yeh miley ya phir kabhi na miley

khwaahish khwaahish hain yahi

sab kutch milta hai yaha

ab toh aaja

move with my body

gehra gehra yeh bhanwar

bach ke jaayega kaha

ab toh aaja

move with my body

thodi dua thoda kehar

oh just come on now

move with my body

khudse tu darr aye bekhabar

you got me spinning round and round now yeah



aa zara khwaabon ki chaai

chahat ki gehrai naap le

raaste kam ho ya na ho

par haath tera ho haath mein

meetha meetha yeh zehar

behka behka yeh dhuan

ab toh aaja

move with my body

ab main bhi main na rahi

ab tu bhi tu na raha

ab toh aaja







Neele Neele Aasmaan Tale Lyrics



Lyrics :



Singer(s): SHREYA GHOSHAL, VIJAY PRAKASH



neele neele aasmaan tale

khwaab ke ho kaafilen

chalo aaisi jagah chalen

aaisi jagah chalen

suraj chaand ke pare

pariyon ka pata milen

chalo aaisi jagah chalen

aaisi jagah chalen

jaha par shokh lehren ho

arsa hi kutch dopahren ho

daude bheegi reton par thandi raat mein

ghutnon bhar samundar naap le

tere hi sang mein

neele neele aasmaan tale

khwaab ke ho kaafilen

chalo aaisi jagah chalen



pairon mein sipi ho

aankhon mein moti

saagar se sikho toh khwaahish kya hoti

suraj ka jewar hai subaha ke maathe

ghoonghat na yeh karde keh do baadal se

dekho oss ki boonde palkein apni moondein

hai ek aaisi duniya jahaan khushiyan na dhale

aao aaj usko dhund le

tere hi sang mein

neele neele aasmaan tale

khwaab ke ho kaafilen

chalo aaisi jagah chalen



din doobey roshan ho jhilmil yeh taarein

sab mein ek sapna hai sach honge saare

raaton ka andhiyara humse kehta hai

baitho toh mere ghar chanda rehta hai

tum sang khwaab poora hai

tum bin sab adhoora hai

chahe ab yeh duniya mile ya na mile

maine toh saja li hain dil mein

tere hi sang mein

neele neele aasmaan tale

khwaab ke ho kaafilen

chalo aaisi jagah chalen

aaisi jagah chalen









Raqs Kar Le Lyrics



Lyrics :



Singer(s): SHAAN



raqs kar le tod de sab zanjeeren

aa mila kadam sajegi woh mehfilein

ho ho hain jahaan rangeen zindagi berangeen kyon ho

lay pe dhadkanon ki haath mera thaamein jhoom lo

o yaara taaron ki tarah chamkoge toh

dekhega jahaan ha taaron ki tarah



raqs kar le raqs mein hai yeh jahaan

ghoomti zameen rang mein hai aasmaan

hey hey hey jis tarah nadi mein

naachti hai lehrein nacho tum

jis tarah dilon mein naachein hai umangein naacho tum

o yaara taaron ki tarah chamkoge toh

dekhega jahaan ha taaron ki tarah

ho ho udane do khud ko tum

ha ha rokon na ab dil ko tum

chu lo aasmaan



raasta chahta hai kai raahi

har ek raahi chahta hai ek saathi

manzil chahti hai musafir

har musafir ek humsafar chahta hai

raqs kar le tod de sab zanjeeren

aa mila kadam sajegi woh mehfilein

ho ho hain jahaan rangeen zindagi berangeen kyon ho

lay pe dhadkanon ki haath mera thaamein jhoom lo

(o yaara taaron ki tarah chamkoge toh

dekhega jahaan ha taaron ki tarah) - 2









Tu Hai Bhatakta Jugnoo Lyrics



Lyrics :



Singer(s): SHREYA GHOSHAL



tu hai bhatakta jugnu koi

main toh andhere ki hu pari

ho tu hai awara toofan koi

main udta hua tinka sahi

aaj apna milan ho gaya

(kis khwab ne chup chap se

mera badan chu liya) - 2

tu hai bhatakta jugnu koi

main toh andhere ki hu pari



baahon mein leke mujhko sikha de

sang mein tere naach lu

sab darr mere aaj bhula de

indra dhanush chu lu

jaise koi mor hai naache

pehli baharon mein

main ek panchi sehma sehma

pehli udaan bhare

tune mujhe udna sikhla diya

kaisa hasin yeh jadoo kiya

(kis khwab ne chup chap se

mera badan chu liya) - 2



hmmmm tu hai bhatakta jugnu koi

main toh andhere ki hu pari

ho tu hai awara toofan koi

main udta hua tinka sahi

aaj apna milan ho gaya

(kis khwab ne chup chap se

mera badan chu liya) - 2

tu hai bhatakta jugnu koi

main toh andhere ki hu pari







0 comments:

Post a Comment