Sunday, 15 April 2012

Hindi Lyrics of movie IZZAT



Jaagi Badan Mein Jwala



Lyrics :



Singer(s): LATA MANGESHKAR





aa...

jaagi jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala

jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala - 3

mana mana kar haari maane nahi man matwala

pari tune hasna chhodhi maine tujhe kitna jaana

jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala - 2



(aate jaate raahon mein chheda

inhi teri baaton se pada yeh bakheda) - 2

achhi di pehchhan tere do nainon ne - 2

arey ghayal kar di jaan tere do nainon ne

jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala - 2



(roothe meri aankhon se sapane

hue tere khwaab mein din the jo apane) - 2

apane pehle haal na aaisa dekha tha - 2

arey solah saal mein saal na aaisa dekha tha

jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala - 2



(tere liye raaton ko bhatku

aate jaate logon ki nazaron mein khatku) - 2

kaisi hulchul daali meri jawani mein - 2

arey zulmi tune aag laga di paani mein

jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala - 2

mana mana kar haari maane nahi manmatwala

pari tune hasna chhodhi maine tujhe kitna jaana

jaagi badan mein jwala saiyya tune kya kar daala - 3









Kya Miliye Aise Logon Se



Lyrics :



Singer(s): MOHAMMAD RAFI





Kya Miliye..



Kya Miliye Aise Logon Se,

Jinki Fithrath Chupi Rahe,

Nakli Chehera Saamne Aaye,

Asli Surath Chupi Rahe,

Kya Miliye Aise Logon Se,

Jinki Fithrath Chupi Rahe,

Nakli Chehera Saamne Aaye,

Asli Surath Chupi Rahe...



Khud Se Bhi Jo Khud Ko Chupaaye,

Kya Unse Pehechaan Karen,

Kya Unke Daaman Se Lipten?,

Kya Unka Samman Karen?,

Jinki Aadhi Niyath Ubhare,

Aadhi Niyath Chupi Rahe,

Nakli Chehera Saamne Aaye,

Asli Surath Chupi Rahe...



Dildaari Kaa Dong Rachakar,

Jaal Bichaaye Baaton Ka,

Jiteji Ka Rishta Kehekar,

Sukh Dunde Kuch Raaton Kaa,

Ruh Ki Hasrath Labh Par Aaye,

Jism Ki Hasrath Chupi Rahe,

Nakli Chehera Saamne Aaye,

Asli Surath Chupi Rahe...



Jinke Zulm Se Dukhi Hai Janta,

Har Basti Har Gaavun Mein,

Daya Dharam Ki Baat Karen Voh,

Bait Ke Sajhi Sabhavon Mein,

Daan Ka Charcha Ghar Ghar Pahunche,

Lut Ki Daulat Chupi Rahe,

Nakli Chehera Saamne Aaye,

Asli Surath Chupi Rahe...



Dekhen In Nakli Cheheron Ki,

Kab Tak Jai Jai Kaar Chale,

Ujale Kapdon Ki Teh Mein,

Kab Tak Kaala Sansaar Chale,

Kab Tak Logon Ki Nazaron Se,

Chupi Haqueeqat Chupi Rahe,

Nakli Chehera Saamne Aaye,

Asli Surath Chupi Rahe...



Kya Miliye Aise Logon Se,

Jinki Fithrath Chupi Rahe,

Nakli Chehera Saamne Aaye,

Asli Surath Chupi Rahe..











Ye Dil Tum Bin Kahee Lagta Nahin



Lyrics :



Singer(s): LATA MANGESHKAR, MOHHAMAD RAFI





ye dil tum been kahee lagataa naheen, hum kyaa kare

tasawwoor mein koee basataa nahee, hum kyaa kare

tum hee kah do ab aye jaana-ye-wafaa hum kyaa kare



loote dil mein diyaa jalataa nahee, hum kyaa kare

tum hee kah do ab aye jaana-ye-wafaa hum kyaa kare



kisee ke dil mein bas ke dil ko tadapaanaa naheen achchhaa

nigaahon ko zalak de de kar chhoop jaanaa naheen achchhaa

ummeedon ke khile gulashan ko zulasaanaa naheen achchhaa

humei tum been koee jachantaa nahee, hum kyaa kare



mohabbat kar to lekin mohabbat raas aaye bhee

dilon ko boz lagate hain kabhee julfon ke saaye bhee

hajaaro gam hain is duniyaan mein apane bhee paraaye bhee

mohabbat hee kaa gam tanahaa nahee, hum kyaa kare



buzaa do aag dil kee yaa ise khulakar hawaa de do

jo is kaa mol de paaye, use apanee wafaa de do

tumhaare dil mein kyaa hain bas humei itanaa pataa de do

ke abh tanahaa safar katataa nahee, hum kyaa kare





0 comments:

Post a Comment