Thursday 19 April 2012

Hindi Lyrics of movie SAATHI (2005)



Kehta Hain Dil Lyrics



Lyrics :



Singer(s): GAURI KARNI, SHAAN



Kehta hai dil sun ea sanam

Ho jaayenge deewane hum



Achha nahi deewanapan

Achhi nahi dil ki lagan



Teri issi adaa pe hum mar gaye



Pagal ho kya kar gaye



Kehta hai dil sun ea sanam

Ho jaayenge deewane hum



Nazrein mila kar kabhi pyaar mein

Nazrein churaana nahi



Dil mein hi tum rehna sanam

Ab door jaana nahi



Nazrein mila kar kabhi pyaar mein

Nazrein churaana nahi



Dil mein hi tum rehna sanam

Ab door jaana nahi



Tu kahe to jaan bhi de doonga main is pyaar mein



Teri issi adaa pe hum mar gaye



Pagal ho kya kar gaye



Kehta hai dil sun ea sanam

Ho jaayenge deewane hum



Duniya ka darr hai na parwa koyi

Tum jo mere saath ho



Toote yeh dil phir se kabhi

Aisi na kuch baat ho



Duniya ka darr hai na parwa koyi

Tum jo mere saath ho



Toote yeh dil phir se kabhi

Aisi na kuch baat ho



Bhool kar jis din tumhe jeena para mar jaoongi



Teri issi adaa pe hum mar gaye



Pagal ho kya kar gaye



Kehta hai dil sun ea sanam

Ho jaayenge deewane hum



Achha nahi deewanapan

Achhi nahi dil ki lagan



Teri issi adaa pe hum mar gaye



Pagal ho kya kar gaye



Kehta hai dil sun ea sanam

Ho jaayenge deewane hum







Kitna Akela Tha Dil Lyrics



Lyrics :



Singer(s): PRIYA BHATTACHARYA, UDIT NARAYAN



Kitna akela tha dil, kitne akele the hum

Kitna akela tha dil, kitne akele the hum

Badal gayi yeh zindagi tum jo mile ea sanam

Tum jo mile ea sanam



Kitna akela tha dil, kitne akele the hum

Kitna akela tha dil, kitne akele the hum

Badal gayi yeh zindagi tum jo mile ea sanam

Tum jo mile ea sanam

Kitna akela tha dil, kitne akele the hum



La la la la la la…



Jeena marna tumhaare liye

Tumse ikraar karta hoon main

Koyi karta nahi is tarah

Jis tarah pyaar karta hoon main



Jaagoon mein raaton mein

Teri in baaton mein

Doob kar aaj phir

Ho gaye aankh nam



Kitna akela tha dil, kitne akele the hum



Bewafaayi se lagta hai darr

Aisa hone na paaye kabhi

Dil to jaan le lo tum jaan bhi

Par yeh khone na paaye kabhi



Pyaar ki raah par

Chal pare humsafar

Ab judaa honge na

Chaahe le lo kasam



Kitna akela tha dil, kitne akele the hum



Kitna akela tha dil, kitne akele the hum



Badal gayi yeh zindagi tum jo mile ea sanam



Tum jo mile ea sanam



Kitna akela tha dil, kitne akele the hum



Kitna akela tha dil, kitne akele the hum



Kitne akele the hum



Kitne akele the hum







Tumko Ham Is Kadar Pyar Karne Lage Lyrics



Lyrics :



Singer(s): KUMAR SANU, SHREYA GHOSHAL



Tumko hum is kadar pyaar karne lage

Haan, tumko hum is kadar pyaar karne lage

Bas tumhaare liye jeene marne lage

Tumko hum is kadar pyaar karne lage



Tumko hum is kadar pyaar karne lage

Tumko hum is kadar pyaar karne lage

Bas tumhaare liye jeene marne lage

Tumko hum is kadar pyaar karne lage



Na jaane is pyaar mein kaisa jadoo hai

Tum ho mere saamne dil beqaabu hai

Na jaane is pyaar mein kaisa jadoo hai

Tum ho mere saamne dil beqaabu hai



Kuch tum bhi ho behke se

Kuch hum bhi hain behke se

Madhosh banaate hain yeh pal jo hain mehke se



Haste huwe pyaar mein din guzarne lage

Haste huwe pyaar mein din guzarne lage

Bas tumhaare liye jeene marne lage



Tumko hum is kadar pyaar karne lage



Tumko paa kar is duniya ko paaya hai

Ab lagta hai jeena humko aaya hai

Tumko paa kar is duniya ko paaya hai

Ab lagta hai jeena humko aaya hai



Yeh pyaar hai pagalpan yeh pyaar to hona tha

Chaahat ki bahaaron mein is dil ko to khona tha



Ab to hum raat din aahe bharne lage

Bas tumhaare liye jeena marne lage



Tumko hum is kadar pyaar karne lage



Tumko hum is kadar pyaar karne lage



Bas tumhaare liye jeene marne lage



Tumko hum is kadar pyaar karne lage



Tumko hum is kadar pyaar karne lage



Bas tumhaare liye jeene marne lage



Tumko hum is kadar pyaar karne lage







Tumse Dil Kya Laga Liya - 2 Lyrics



Lyrics :



Singer(s): ROOP KUMAR RATHORE, SANJEEV, SHREYA GHOSHAL



Tumse dil kya laga liya humne

Tumse dil kya laga liya humne

Khud ko pagal bana liya humne



Tumse dil kya laga liya humne

Tumse dil kya laga liya humne

Khud ko pagal bana liya humne



Tumse dil kya laga liya humne



Aaj honthon pe tham gayi aahein

Aaj aakhon mein khwaab jalte hain



Kal jahaan pyaar mehka mehka tha

Aaj us dil mein zakhm palte hain



Dard seh seh ke muskuraate hain

Dard seh seh ke muskuraate hain

Aansuon ko chhupa liya humne

Tumse dil kya laga liya humne



Uljhi uljhi si zindagi le kar

Hum yeh kis mor par chale aaye



Bewafa tum nahi chalo maano

Tum bhi hum ko samajh nahi paaye



Jo bhi ilzaam is jahaan ne diya

Jo bhi ilzaam is jahaan ne diya

Haste haste utha liya humne



Tumse dil kya laga liya humne

Tumse dil kya laga liya humne

Tumse dil kya laga liya humne

Khud ko pagal bana liya humne









Tumse Dil Kya Laga Liya Lyrics



Lyrics :



Singer(s): ROOP KUMAR RATHORE



Tumse dil kya laga liya humne

Tumse dil kya laga liya humne

Tumse dil kya laga liya humne

Khud ko pagal bana liya humne

Khud ko pagal bana liya humne

Khud ko pagal bana liya humne

Tumse dil kya laga liya humne



Apni taqdeer mein jo aaye hain

Jaane kis khwaab ke musaaye hain

Humne samjha tha jinpe haq apna

Woh to apne nahi paraaye hain

Jis ki taveer mil nahi sakti

Jis ki taveer mil nahi sakti

Khwaab yeh kya saja liya humne

Tumse dil kya laga liya humne



Jaise bhi hoga hum to jee lenge

Tum humein chor kar chale jao

Koyi marta nahi kisi ke liye

Har kasam tod kar chale jao

Kuch na socho humaare baare mein

Kuch na socho humaare baare mein

Dil ko pathar bana liya humne

Tumse dil kya laga liya humne

Tumse dil kya laga liya humne

Tumse dil kya laga liya humne

Khud ko pagal bana liya humne













Yeh Chehra Yeh Rangat Lyrics



Lyrics :



Singer(s): KUMAR SANU



Yeh chehra yeh rangat yeh chanchal jawaani

Main is dil pe likh doonga teri kahaani

Yeh chehra yeh rangat yeh chanchal jawaani

Main is dil pe likh doonga teri kahaani

Tu meri ho jaa, aa mujh mein kho jaa

Tu meri ho jaa, aa mujh mein kho jaa

Tera saath jo mil jaaye to mehke yeh zindegaani

Yeh chehra yeh rangat yeh chanchal jawaani

Main is dil pe likh doonga teri kahaani

Tu meri ho jaa, aa mujh mein kho jaa

Tera saath jo mil jaaye to mehke yeh zindegaani

Yeh chehra yeh rangat yeh chanchal jawaani



Yeh jalwe, yeh shogein, yeh mehka huwa roop tera

Tujhe apna banaane ka ab to iraada hai mera

Yeh jalwe, yeh shogein, yeh mehka huwa roop tera

Tujhe apna banaane ka ab to iraada hai mera

Yeh nakhre tere hain dushman mere

Hai dushman mere arre nakhre tere

Hai sar se leke pair tak lagti hai tu suhaani

Yeh chehra yeh rangat yeh chanchal jawaani

Main is dil pe likh doonga teri kahaani

Tu meri ho jaa, aa mujh mein kho jaa

Tera saath jo mil jaaye to mehke yeh zindegaani

Yeh chehra yeh rangat yeh chanchal jawaani



Nazar mein basa hai yeh chehra tera jaan-e-jaana

Tujhe dekha to dil ne kaha main huwa hoon deewana

Nazar mein basa hai yeh chehra tera jaan-e-jaana

Tujhe dekha to dil ne kaha main huwa hoon deewana

Kyun jaane na tu yeh jaane na tu

Kyun maane na tu yeh jaane na tu

Tere issi andaaz pe duniya huwi deewana

Yeh chehra yeh rangat yeh chanchal jawaani

Main is dil pe likh doonga teri kahaani

Tu meri ho jaa, aa mujh mein kho jaa

Tera saath jo mil jaaye to mehke yeh zindegaani

Yeh chehra yeh rangat yeh chanchal jawaani



0 comments:

Post a Comment