Thursday, 19 April 2012

Hindi Lyrics of movie TAARE ZAMEEN PAR



Bheja Kum Lyrics



Lyrics :



Singer(s): SHANKAR MAHADEVAN, BUGS BHARGAVA, SHANKAR SHACDEV, RAAJ GOPAR IYER,

RAVI KHANWILKER, LOY M

Cast(s): Aamir Khan , Tanay Chheda , Darsheel Safary , Tisca Chopra



Why?

Why Cant You?

Idiot

Why Cant You?

Kya Hai Problem?

Kyun Tera Bheja Kum?

Kya Hai Problem?

Kyun Tera Bheja Kum?

Kyun Maths Mein Ho Anda?

Kyun Roz Khate Danda?

Grammar Pathetic And Spelling All Wrong!



Aksahr Jo Nache Kya Khayi Hai Bhang?

Idiot Duffer Lazy Crazy

Idiot,Aye Duffer,Lazy,Crazy

Kyun Bhasha Kharaab,Kyun Na Dete Jawaab?

Kyun Karte Nahin Try, Why Why But Why Why Cant

You?

Kya Hai Problem?

Kyun Tera Bheja Kum?

Kyun Rehte Fissadi,Kyun Handwriting Raadi?

Kyun Homework Adhura,Kyun Dhyaan Nahin

Poora?

Why...Why...Why...Why

Why...Why...Why...Why

Idiot Duffer Lazy Crazy

This Child Can Drive Anybody Mad

Someone Please Call Up His Dad

Tumhara Problem Kya Hai Beta?

Moorkh Shorimani!

Kyun Number Aate Kam,Kyun Karte Nahin Sum?

Kyun Geography Mein Gol,

Bol Bol Bol Bol Bol ....

Idiot

Duffer

Lazy

Crazy

Idiot







Bum Bum Bhole Lyrics



Lyrics :



Singer(s): SHAAN,AAMIR KHAN

Cast(s): Aamir Khan , Tanay Chheda , Darsheel Safary , Tisca Chopra



Chaka Raka Chi Chai Cho Chaka Lo Rum

Gando Vando Laka Raka Tum

Akko Takko Iddi Giddi Giddi Go

Iddi Pai Vidi Pai Chiki Chaka Cho



Gili Gili Mal Sulu Sulu Mal

Maka Naka Huku Buku Re

Tuku Buku Re Chaka Laka

Bikko Chikko Sili Sili Sili Go

Bagad Dum Chagad Dum Chiki Chaka Cho



Dekho Dekho Kya Woh Ped Hai

Chadar Ode Ya Khada Koi

Dekho Dekho Kya Woh Ped Hai

Chadar Ode Ya Khada Koi

Baarish Hai Ya Aasmaan Ne

Chod Diye Hai Nal Khule Kahin



Hum Jaise Dekhe Yeh Jahaan Hai Waisa Hi

Jaisi Nazar Apni



Khul Ke Sochein Aao

Pankh Zara Phailaao

Rang Naye Bikhrao

Chalo Chalo Chalo Chalo

Naye Khwaab Bun Le



Hey Hey....

Sa Pa (Sa Pa) Dha Re (Dha Re) Ga Re (Ga Re)

Ga Ma Pa Sa (Ga Ma Pa Sa )



Bum Bum Bum(Bum Bum Bum)

Bum Bum Bum Bole(Bum Bum Bum Bole)

Hey Bum Chik Bole(Bum Chik Bole)

Arre, Masti Mein Dole(Masti Mein Dole)



Bum Bum Bole,Masti Mein Dole

Bum Bum Bole,Masti Mein Tu Dol Re Hey

Bum Bum Bole,Masti Mein Dole....



Bhala Machliya Bhi Kyun Udti Nahin

Aise Bho Socho Na

Socho Sooraj Roz Nahaye Ya

Baal Bhigoke Yeh Budhoo Banaye Hume

Yeh Saare Taare Timtimaye

Ya Phir Gusse Mein Kuch Badbadate Rahein



Khul Ke Sochein Aao...

Hey Hey Hey...

Bum Bum Bole,Masti Mein Dole...



O Rat Rat Ke Kyon Tanker Full

(Tanker Full Tanker Full)

Aankhein Band To Dabba Gul

(Oye Dabba Gul Dabba Gul)

Oya Band Darwaze

(Khol Re Khol Re Khol Re)

Ho Jaa Bindaas Bol Re

(Bol Bol Bol Bol Re)

Main Bhi Hoon(Main Bhi Hoon)

Tu Bhi Hai(Tu Bhi Hai)



Main Bhi Tu Bhi Hum Sab Mil Ke

Bum Chik Bum Bum Chik Bum Bum Chik...'

Bum Bum Bum Bum Bum Bum



Bum Bum Bole,Masti Mein Dole...



Aisi Rangon Bhari Apni Duniya Hai Kyun

Socho To Socho Na

Pyar Se Chun Ke In Rangon Ko

Kisi Ne Sajaye Hai Apni Duniya

Upar Wala Kya Hai Apni Duniya

Upar Wala Kya Koi Kalakaar Hai



Khul Ke Sochein Aao....

Chalo Chalo Chalo Chalo Chalo Chalo Chalo Chalo

Chalo Chalo Chalo Chalo Naye Khwaab Bun Le



Bum Bum Bole,Masti Mein Dole...

Oye Bum Bum Bole







Jame Raho Lyrics



Lyrics :



Singer(s): VISHAL DADLANI

Cast(s): Aamir Khan , Tanay Chheda , Darsheel Safary , Tisca Chopra





Kas Ke Joota Kas Ke Belt

Khons Ke Andar Apni Shirt

Manzil Ko Chali Sawaari

Kandho Pe Zimmedari



Haath Mein File Man Mein Dum

Meelon Meel Chalenge Hum

Har Muskil Se Takrayenge

Tas Se Mus Na Honge Hum



Duniya Ka Naara Jame Raho

Manzil Ka Ishaara Jame Raho

Duniya Ka Naara Jame Raho

Manzil Ka Ishaara Jame Raho



Ye Sote Bhee Hain Attention

Aage Rehne Ki Hai Tension

Mehnat Inko Pyari Hai

Ekdum Aagyakari Hain



Ye Omlet Par Hi Jeete Hain

Ye Tonic Saare Peete Hain

Waqt Pe Sote Waqt Pe Khate

Taan Ke Seena Badhte Jate



Duniya Ka Naara Jame Raho...



Yahaan Alag Andaz Hai

Jaise Chidta Koi Saaz Hai

Har Kaam Ko Taala Karte Hain

Ye Sapne Paala Karte Hain



Ye Hardum Socha Karte Hain

Ye Khud Se Poocha Karte Hain



Kyon Duniya Ka Naara Jame Raho...



Ye Waqt Ke Kabhi Ghulam Nahin

Inhain Kisi Baat Ka Dhyan Nahin

Titli Se Milne Jaate Hain

Ye Pedon Se Batiyate Hain



Ye Hawa Batora Karte Hain

Barish Ki Boondein Padhate Hai

Aur Aasmaan Ke Canvas Pe

Ye Kalakariyan Karte Hain



Duniya Ka Naara Jame Raho..









Kholo Kholo Lyrics



Lyrics :



Singer(s): RAMAN MAHADEVAN

Cast(s): Aamir Khan , Tanay Chheda , Darsheel Safary , Tisca Chopra





Kholo Kholo Darwaze

Parde Karo Kinare

Khuntey Se Bandhi Hai Hawa

Mil Ke Chhudao Saare



Aajao Patang Leke

Apney Hi Rang Leke

Aasmaan Ka Shamiyana

Aaj Hamein Hai Sajana



Kyun Is Kadar Hairaan Tu

Mausam Ka Hai Mehmaan Tu

O, Duniya Sajee Tere Liye

Khud Ko Zara Pehchaan Tu



Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar

Tu Hai Nadee O Bekhabar

Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin

Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin



O, Kyun Is Kadar Hairaan Tu

Mausam Ka Hai Mehmaan Tu



Baasi Zindagi Udaasi

Taazi Hasney Ko Raazi

Garma Garma Saari

Abhi Abhi Hai Utaari



O, Zindagi To Hain Batasha

Meethi Meethi Si Hai Aasha

Chakh Le Rakh Le

Hatheli Se Dhak Le Ise



Tujh Mein Agar Pyaas Hai

Baarish Ka Ghar Bhi Pass Hai

O, Roke Tujhe Koi Kyon Bhala

Sang Sang Tere Aakash Hai



Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar

Tu Hai Nadee O Bekhabar

Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin

Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin



Khul Gaya Aasmaan Ka Rasta Dekho Khul Gaya

Mil Gaya Kho Gaya Tha Jo Sitara Mil Gaya, Mil Gaya



O, Roshan Hui Saari Zameen

Jagmag Hua Saara Jahaan

Udne Ko Tu Azad Hai

Bandhan Koi Abh Hai Kahan



Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar

Tu Hai Nadee O Bekhabar

Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin

Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin



O, Kyun Is Kadar Hairaan Tu

Mausam Ka Hai Mehmaan Tu











Maa - Taare Zameen Par Lyrics



Lyrics :



Singer(s): SHANKAR MAHADEVAN

Cast(s): Aamir Khan , Tanay Chheda , Darsheel Safary , Tisca Chopra





Main Kabhi Batlata Nahin

Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa

Yun To Main,Dikhlata Nahin

Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa

Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa

Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa



Bheed Mein Yun Na Chodo Mujhe

Ghar Laut Ke Bhi Aa Naa Paoon Maa

Bhej Na Itna Door Mujkko Tu

Yaad Bhi Tujhko Aa Naa Paoon Maa

Kya Itna Bura Hoon Main Maa

Kya Itna Bura Meri Maa



Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe

Jo Zor Se Jhoola Jhulate Hain Maa

Meri Nazar Dhoondhe Tujhe

Sochu Yahi Tu Aa Ke Thaamegi Maa



Unse Main Yeh Kehta Nahin

Par Main Seham Jaata Hoon Maa

Chehre Pe Aana Deta Nahin

Dil Hi Dil Mein Ghabraata Hoon Maa

Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa

Tujhe Sab Hai Pata Meri Maa



Main Kabhi Batlata Nahin

Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa

Yun To Main,Dikhlata Nahin

Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa

Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa

Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa







Taare Zameen Par - Title Song Lyrics



Lyrics :



Singer(s): SHANKAR MAHADEVAN,BUGS BHARGAVA,VIVINENNE POCHA

Cast(s): Aamir Khan , Tanay Chheda , Darsheel Safary , Tisca Chopra





Dekho Inhein Yeh Hain Aas Ki Boondein

Patton Ki God Mein Aasmaan Se Koodein

Aandayee Lein Phir Karwat Badal Kar

Nazuk Se Moti Hans De Phisal Kar



Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par



Yeh To Hain Sardi Mein Dhoop Ki Kirane

Utarein Jo Aangan Ko Sunhera Sa Karne

Mann Ke Aandheron Ko Roshan Sa Kar Dein

Thithurti Hatheli Ki Rangat Badal Dein



Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par



Jaise Aankhon Ki Dibiya Mein Nindiya

Aur Nindiya Mein Meetha Sa Sapna

Aur Sapne Mein Mil Jaaye Farishta Sa Koi

Jaise Rangon Bhari Pichkari

Jaise Titliyan Phoolon Ki Kyari

Jaise Bina Matlab Ka Pyara Rishta Ho Koi



Yeh To Aasha Ki Lehar Hain

Yeh To Ummeed Ki Sehar Hain

Khusiyon Ki Nehar Hain



Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par



Dekho Raaton Ke Seeney Pe Yeh Toh

Jhilmil Kisi Lau Se Ugey Hain

Yeh To Amboya Ki Khusboo Hain

Baagon Se Beh Chale

Jaise Kaanch Mein Choodi Ke Tukde

Jaise Khiley Khiley Phoolon Ke Mukhdey

Jaise Bansi Koi Bajaye Pedon Ke Taley



Yeh To Jhonke Hain Pawan Ke

Hain Yeh Ghungharoo Jeewan Ke

Yeh To Sur Hain Chaman Ke



Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par



Muhaley Ki Raunak

Galiyan Hain Jaise

Khilney Ki Zid Par

Khaliyan Hain Jaise

Muthi Mein Mausam Ki

Jaise Hawayein

Yeh Hain Buzurgon Ke

Dil Ki Duwayein



Kho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par



Kabhi Baatein Jaise Dadi Nani

Kabhi Chalkein Jaise Mum Mum Paani

Kabhi Ban Jaaye Bhole

Sawaalon Ki Jhadi

Sannatey Mein Hansee Ke Jaise

Sooney Hothon Pe Khushi Ke Jaise

Yeh To Noor Hain Barse Gar

Teri Kismat Ho Badi



Jaise Jheel Mein Lehraye Chanda

Jaise Bheed Mein Apne Ka Kandha

Jaise Manmauji Nadiya

Jhaag Udaye Kuch Kahe

Jaise Baithe Meethi Si Jhapki

Jaise Pyar Ki Dheemi Si Thapki

Jaise Kaanon Mein Sargam

Hardam Bajti Hi Rahe

Jaise Barkha Udati Hai Bundiya...











0 comments:

Post a Comment