Thursday 19 April 2012

Hindi Lyrics of movie TAJ MAHAL



Apni Zulfein Lyrics



Lyrics :



Singer(s): HARIHARAN





apni zulfein mere shano pe bikhar jane do

aaj roko na mujhe hadh se gujar jaane do

apni zulfein mere shano pe bikhar jane do



tum jo aaye toh baharon pe shabab aaya hai

in nazaron pe bhi halka sa nasha chaya hain

apni aankhon ko nasha aur bhi badh jane do

apni zulfein mere shano pe bikhar jane do

aaj roko na mujhe hadh se gujar jaane do

apni zulfein mere shano pe bikhar jane do



surkh hoton pe gulabo ka guma hota hain

aaisa manjar ho jaha hosh kaha rehta hain

yeh hasin hoth mere hothon se mil jaana do

apni zulfein mere shano pe bikhar jane do

aaj roko na mujhe hadh se gujar jaane do

apni zulfein mere shano pe bikhar jane do









Chaandi Ka Badan Lyrics



Lyrics :



Singer(s): MOHD. RAFI, ASHA BHOSLE, MEENA KAPOOR, MANNA DEY



ra, ma, cho: chaaNdi kaa badan sone ki nazar

us par ye nazaakat kyaa kahiye

eji kyaa kahiye

chaaNdi kaa badan sone ki nazar

us par ye nazaakat haay nazaakat lyaa kahiye

kis kis pe tumhaare jalvoN ne

toDi hai qayaamat kyaa kahiye

eji kyaa kahiye

chaaNdi kaa badan sone ki nazar

A: aa aa aa..

A, mee, cho: aa..

GhustaaKh zubaaN GhustaaKh nazar

ye rang-e-tabiyat kyaa kahiye

eji kyaa kahiye

aise bhi kahin is duniyaa mein

hoti hai muhabbat kyaa kahiye

eji kyaa kahiye

GhustaaKh zubaaN GhustaaKh nazar



ra: aa..

ra, ma, cho: aaNchal ki dhanak ke saaye mein

ye phool gulaabi chehroN, chehroN ke

ye phool gulaabi haa aa aa aa ye phool gulaabi chehroN ke

ye gul bhi hai gulshan bhi hai aur taaroN kaa jhurmaT bhi

ye phool gulaabi chehroN ke

ye phool gulaabi haay gulaabi chehroN ke

is vaqt hamaari nazroN mein

kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye

eji kyaa kahiye

is vaqt hamaari nazroN mein

ra, ma: haa aa haa aa haa

ra: tumse nazren jo milin

deen-o-duniyaa se gaye

ik tamannaa ke sivaa

har tamannaa se gaye

mast aaNkhoN se jo pee

jaam-o-meenaa se gaye

zulf lahraayee jahaaN

ham bhi lahraa se gaye

ra, ma, cho: hooren milti hain kise

is ki parvaah se gaye

is ki parvaah se, parvaah se, parvaah se gaye

is vaqt hamaari nazroN mein

kyaa cheez hai jannat kyaa kahiye

eji kyaa kahiye

chaaNdi kaa badan sone ki nazar



A: aa aa aa..

A, mee, choo: yuN garm nigaahen mat Daalo

ye jism pighal bhi pighal bhi sakte hain

ye jism pighal bhi, aa aa aa aa

ye jism pighal bhi sakte hain

ye jism pighal bhi haay pighal bhi sakte hain

aadaab-e-nazaaraa bhoole ho

tum logoN ki vahshat kyaa kahiye

eji kyaa kahiye

aadaab-e-nazaaraa bhoole ho

A: aa aa aa aa aa

tum hamen jeet sako

is kaa imkaan nahin

Khud ko badnaam karen

ham vo naadaaN nahin

mee: koi martaa hai mare

ham pe ehsaan nahin

un se kyuN baat karen

jin se pahchaan nahin

A, mee, cho: tum ko armaaN hai to hai

ham ko armaan nahin

ham ko armaan ke armaan ke armaan nahin

aadaab-e-nazaaraa bhoole ho -2

tum logoN ki vahshat kyaa kahiye

eji kyaa kahiye

ra, ma, cho: chaaNdi kaa badan sone ki nazar

A, mee, cho: din raat duhaayee dete hain

ye haal hai in deevaanoN kaa -2

A: ye haal hai in deevaanoN kaa

chorus: ye haal hai in deevaanoN kaa -4

A: jahaaN dekhi nayee soorat machal baiThe -2

haay yahi, yahi, yahi lenge

mee, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa -2

ma: jin ki Khaatir Gham sahen aur ro-ro jaaN gavaaen

ra: haay ri qismat unhin ke mooNh se deevaane kahlaayen

ra, ma, cho: ke ab ( ye haal hai in deevaanoN kaa ) -2

A: aa aa.. aa aa haa

in aashiqoN ke haath hai, ai zindagi bavaal

in kaa karen Khayaal ke, apnaa karen Khayaal

har lab hai arz-e-shauq to, har aaNkh hai savaal -2

A, mee, cho: ye Gham se beqaraar hai, vo dard se nihaal

arey ye haal hai in deevaanoN kaa

ye haal hai in deevaanoN kaa

ra: aa.. meri neend gayee meraa chain gayaa

vo jo pahle thi taab-o-tabaan gayee

ma: yahi rang rahaa yahi Dhang rahaa

to ye jaan lo jaan ki jaan gayee

ra, ma, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa -2

A: kisi ko Khud-Khushi kaa, shauq ho to, kyaa kare koi

ra: davaa-e-hijr de, beemaar ko, achchhaa kare koi

mee: koi bevajah sar phoDe to kyoN parvaah kare koi

ma: kisi majboor-e-Gham kaa haal kyoN aisaa kare koi

A: mazaa jab hai ki tum, tum taDpaa karo, taDpaa karo tum

dekhaa kare koi

ra: maren ham aur tum par, ke tum par Khoon kaa, Khoon kaa

daavaa daavaa kare koi ma: haaN

ra: daavaa kare koi ma: haaN aa aa aa

ra, ma, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa -4

A, mee, cho: ye haal hai in deevaanoN kaa, deevaanoN kaa

jeete bhi nahin marte bhi nahin

bechaaroN ki haalat kyaa kahiye

eji kyaa kahiye

GhustaaKh zubaaN GhustaaKh nazar









Jo Baat Tujh Mein Hai Lyrics



Lyrics :



Singer(s): MOHAMMAD RAFI



jo baat tujh mein hai,

teree tasaweer mein nahee

tasaweer mein nahee



rangon mein teraa aks dhalaa, too naa dhal sakee

saanson kee aanch jism kee khushaboo naa dhal sakee

tujh mein jo loch hai, meree tahareer mein nahee

tahareer mein nahee

jo baat tujh mein hai,

teree tasaweer mein nahee



bejaan husn mein kahaan, raftaar kee adaa

inkaar kee adaa hai, naa ikaraar kee adaa

koee lachak bhee zulf-e-girahagir mein nahee

girahagir mein nahee

jo baat tujh mein hai,

teree tasaweer mein nahee



duniyaa mein koee cheez naheen hai teree tarah

phir ek baar saamane aajaa kisee tarah

kyaa aur ek jhalak meree taqadeer mein nahee

taqadeer mein nahee



jo baat tujh mein hai,

teree tasaweer mein nahee





Jurm e Ulfat Lyrics



Lyrics :



Singer(s): LATA MANGEHKAR



aa aa.., aa aa aa

jurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain -2

kaise naadaan hain, sholoN ko havaa dete hain

kaise naadaan hain



hamse deevaane kahin tarke vafaa karte hain -2

jaan jaaye ke rahe baat nibhaa dete hain

jaan jaaye



aap daulat ke taraazoo mein diloN ko taulen -2

ham mohabbat se mohabbat kaa silaa dete hain

ham mohabbat se



taKht kyaa cheez hai aur laal-o-javaahar kyaa hai -2

ishq vaale to Khudaai bhi luTaa dete hain

ishq vaale



hamne dil de bhi diyaa ehd-e-vafaa le bhi liyaa -2

aap ab shauq se deden jo sazaa dete hain

jurm-e-ulfat pe hamen log sazaa dete hain







Paanva Choo Lene Do Lyrics



Lyrics :



Singer(s): MOHD. RAFI, LATA MANGESHKAR



ra: paaNv chhoo lene do phooloN ko inaayat hogi, inaayat hogi

varnaa hamko nahin, inko bhi shikaayat hogi

shikaayat hogi



la: aap jo phool bichhaayen unhen ham Thukraayen - 2

hamko Dar hai

hamko Dar hai ke ye tauheen-e-muhabbat hogi, muhabbat hogi



ra: dil ki bechain umangoN pe karam farmaao - 2

itnaa ruk ruk

itnaa ruk ruk ke chaloge to qayaamat hogi, qayaamat hogi

paaNv chhoo lene do phooloN ko inaayat hogi, inaayat hogi



la: sharm roke hai idhar, shauq udhar khinche hai - 2

kyaa Khabar thi

kyaa Khabar thi kabhi is dil ki ye haalat hogi

ye haalat hogi



ra: sharm gairoN se huaa karti hai apnoN se nahin - 2

sharm ham se

sharm ham se bhi karoge to museebat hogi, museebat hogi

paaNv chhoo lene do phooloN ko inaayat hogi, inaayat hogi

la: hamko Dar hai ke ye tauheen-e-muhabbat hogi, muhabbat hogi







na na na re na na Lyrics



Lyrics :



Singer(s): SUMAN KALYANPURI, MINOO PURSHOTTAM



su: na na na re na na, haath na lagaanaa

tose baar baar kahooN mohe na sataanaa

dooNgi gaariyaaN

mi: roop ye suhaanaa, uspe ye baalaa

gori tori akhiyaaN hai rang kaa khazaanaa

laage pyaariyaaN



su: bhaiyaa moraa gabroo hai, ( sainyaa moraa baaNkaa ) -2

chaalengi kaTaaren tere ( muD ke jo jhaaNkaa ) -2

royegaa tor khaDaa na na jaan ganvaanaa ye ( mainn bolooN ) -2

main dooNgi gaariyaaN

na na na re n`a na, haath na lagaanaa

tose baar baar kahooN mohe na sataanaa

dooNgi gaariyaaN



mi: nainoN ki kaTaari laage, ( man pe jo thaari ) -2

gensoo jhuke jo tori ( chhab matvaari ) -2

roop jhalak dikhlaanaa nahin tarsaanaa

o na bolo ye batiyaaN na bolo gaariyaaN

roop ye suhaanaa, uspe ye baalaa

gori tori akhiyaaN hai rang kaa khazaanaa

laage pyaariyaaN



su: roop ke khazaane pe hai ( sainyaa ji kaa pahraa ) -2

jiven more saiyaaN jaase ( pyaar moraa gahraa ) -2

tu hai puruSh anjaanaa, binaa pahchaanaa

re ( main bolooN ) -2

main dooNgi gaariyaaN

mi: roop ye suhaanaa, uspe ye baalaa

gori tori akhiyaaN hai rang kaa khazaanaa

laage pyaariyaaN

su: na na na re na na, haath na lagaanaa

tose baar baar kahooN mohe na sataanaa

dooNgi gaariyaaN







Jo Vaada Kiya Woh Nibhaana Padega Lyrics



Lyrics :



Singer(s): MOHD RAFI & LATA MANGESHKAR



Jo Vaada Kiya Woh Nibhaana Padega

Roke Zamaana Chaahe Roke Khudaai

Tumko Aana Padega



Tarasti Nigaahon Ne Aawaz Di Hai

Mohabbat Ki Aahon Ne Awaaz Di Hai

Jaane Hayaa Jaane Ada Chodo Tarsaana

Tumko Aana Padega



Ye Maana Hamein Jaan Se Jaana Padega

Par Ye Samajh Lo Tumne Jab Bhi Pukaara

Humko Aana Padega...



Hum Apni Wafaa Pe Na Ilzaam Lenge

Tumhe Dil Diya Hai Tumhe Jaan Bhi Denge

Jab Ishq Ka Sauda Kiya, Phir Kya Ghabraana

Humko Aana Padega



Chamakte Hain Jab Tak Yeh Chaand Aur Taare

Na Tootenge Ab Keh Do Paimaan Hamaare

Ek Doosra Jab De Sadaa Hoke Dewaana

Humko Aana Padega











0 comments:

Post a Comment