Thursday 19 April 2012

Hindi Lyrics of movie TEEN DEVIYAN



Aise To Na Dekho Lyrics



Lyrics :



Singer(s): MOHD. RAFI



Aise To Na Dekho, Ke Humko Nasha Ho Jaye

Khoobsurat Si Koi Humse Khata Ho Jaye

Aise To Na Dekho...



Tum Humein Roko Phir Bhi Hum Na Ruken

Tum Kaho Kaafir Phir Bhi Aise Jhuken

Kadam-E-Naaz Pe Ik Sajda Ada Ho Jaye

Aise To Na Dekho...



Yoon Na Ho Aankhen Rahen Kaajal Gholen

Badh Ke Bekhudi Haseen Gesu Kholen

Khul Ke Phir Zulfen Siyah Kali Bala Ho Jaaye

Aise To Na Dekho...



Hum To Masti Mein Jaane Kya Kya Kahen

Lab-E-Naazuk Se Aisa Na Ho Tumhein

Beqarari Ka Gila Hum Se Siva Ho Jaye

Aise To Na Dekho...





Arey Yaar Meri Tum Bhi Ho Gazab Lyrics



Lyrics :



Singer(s): ASHA BHONSLE, KISHORE KUMAR

Cast(s): SIMI GAREWAL , DEV ANAND , NANDA , KALPANA , SULOCHANA



Are Yaar Meri Tum Bhi Ho Gazab

Ghoonghat To Zara Odho

Aha Maano Kaha Ab Tum Ho Javaan

Meri Jaan Ladakapan Chhodo

Jab Meri Chunariya Malamal Kee

Phir Kyon Na Phiroon Jhalki-Jhalki

Are Yaar Meri Tum Bhi Ho Gazab ...



(Koi Jo Mujhako Haath Lagaayegaa

Haath Na Usake Aaoongi

Mai Tere Man Ki Laal Pari Hoon Re,

Man Mein Tere Ud Jaaoongi ) - 2

Tum Pari To Zaroor Ho, Par Badi Mashahoor Ho

Jab Meri Chunariya Malamal Ki ...

Are Yaar Meri Tum Bhi Ho Gazab ...



(Dekhake Tarase Laakh Ye Bhanvare

Aur Inhen Tarasaaoongi

Teri Gali Ki Ek Kali Hoon,

Tere Gale Lag Jaaungi ) - 2

Tum Kali To Zaroor Ho, Par Badi Mashahoor Ho

Jab Meri Chunariya Malamal Ki ...

Are Yaar Meri Tum Bhi Ho Gazab ...



(Daalake Ghunghata Roop Ko Apane

Aur Nahi Main Chhupaaungi

Sundari Banake Teri Balamavaa,

Aaj To Main Laharaungi )- 2

Sundari To Zaroor Ho, Par Badi Mashahoor Ho

Jab Meri Chunariya Malmal Ki ...

Are Yaar Meri Tum Bhi Ho Gazab ...

Jab Meri Chunariya Malamal Ki ...

Are Yaar Meri Tum Bhi Ho Gazab









Khwab Ho Tum Lyrics



Lyrics :



Singer(s): KISHORE KUMAR



ki: hmmmmm..., hmmm..., hmmmmmm...

Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat

kaun ho tum batlaao

der se kitni door khaDi ho

aur qarib aa jaao

(subah pe jis tarah, shaam kaa ho gumaaN) -2

zulfon mein ek chehraa, kuchh zaahir kuchh nihaar



*fast*

Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat

kaun ho tum batlaao

der se kitni door khaDi ho

aur qarib aa jaao

chorus: Khvaab ho tum yaa koi haqeeqat

kaun ho tum batlaao

der se kitni door khaDi ho

aur qarib aa jaao



ki: (dhaDkanon ne suni, ik sadaa paaon ki) -2

(aur dil pe lahraai, aaNchal ki chhaaon si) -2

Khvaab ho tum yaa...

All: Khvaab ho tum yaa...



ki: (mil hi jaati ho tum, mujhko har moD pe) -2

(chal deti ho kitne, afsaane chhoD ke) -2

Khvaab ho tum yaa...

chorus: Khvaab ho tum yaa...

ki: (phir pukaaro mujhe, phir meraa naam lo) -2

(girtaa hooN phir apni, baahon mein thaam lo) -2

Khvaab ho tum yaa...

sab: (Khvaab ho tum yaa...) -2







Likha Hai Teri Aankhon Mein Lyrics



Lyrics :



Singer(s): KISHORE KUMAR, LATA MANGESHKAR



lata: likha hai teri aankhon mein, kisaka afasana - 2

kishor: agar ise samajh sako, mujhe bhi samjhana

likha hai teri aankhon mein, kiska afasana ...



lata: jawab tha kisi tamanna ka,

likha to hai magar adhoora sa

are o o o o

jawab tha kisi tamanna ka,

likha to hai magar adhoora sa

kishor: kaisi na ho meri har baat adhoori,

abhi huun aadha deewana

lata: likha hai teri aankhon mein, kiska afasana

kishor: agar ise samajh sako, mujhe bhi samajhana

lata: likha hai teri aankhon mein, kiska afasana



lata: jo kuch nahi to yeh ishaare kyon,

thahar gaye mere sahare kyon

are o o o o

jo kuch nahi to yeh ishare kyon,

thahar gaye mere sahare kyon

kishor: thoda sa haseenon ka sahara leke chalna,

hai meri aadat rozaana

lataa: likha hai teri aankhon mein, kiska afasaana

kishor: agar ise samajh sako, mujhe bhi samajhana

lataa: likha hai teri aankhon men, kiska afasana



kishor: yahaan vahaan fiza mein aawara,

abhi talak ye dil hai bechara

are o o o o

yahaan vahaan fiza mein aawara,

abhi talak ye dil hai bechara

lataa: o o ... dil ko tere ab tak na samajhe,

tujh hi ko hamane pahachaana

lataa: likha hai teri aankhon men, kiska afasaana

kishor: agar ise samajh sako, mujhe bhi samajhana

lataa: likha hai teri aankhon men, kisaka afasana







0 comments:

Post a Comment