Tuesday, 24 April 2012

Ishwar Allah ( 1947 Earth - 1999 )





Ishwar Allah Tere Jahan Mein

Nafrat Kyoon Hai, Jung Hai Kyoon

Tera Dil To, Itna Bada Hai

Insaan Ka Dil Tang Hai Kyoon



Ishwar Allah, Tere Jahan Mein

Nafrat Kyoon Hai, Jung Hai Kyoon

Tera Dil To, Itna Bada Hai

Insaan Ka Dil Tang Hai Kyoon



Kadam Kadam Par Sarhad Kyoon Hai

Saari Zameen Jo Teri Hai

Suraj Ke Pherey Karti Hai

Phir Kyoon Itni Andheri Hai

Is Duniya Ke Daaman Par

Insaan Ke Lahoo Ka Rang Hai Kyoon



Ishwar Allah, Tere Jahan Mein

Nafrat Kyoon Hai, Jung Hai Kyoon

Tera Dil To, Itna Bada Hai

Insaan Ka Dil Tang Hai Kyoon...



Goonj Rahi Hain Kitni Cheekhain

Pyaar Ki Baatein Kaun Sooney

Toot Rahe Hain Kitney Sapnay

In Ke Tukde Kaun Chuney

Dil Ke Darwazoon Par Taaley

Taalon Par Ye Zang Hai Kyoon



Ishwar Allah, Tere Jahan Mein

Nafrat Kyoon Hai, Jung Hai Kyoon

Tera Dil To, Itna Bada Hai

Insaan Ka Dil Tang Hai Kyoon...

0 comments:

Post a Comment