Friday, 20 April 2012

Jaise Radha Ne Mala Japi ( Tere Mere Sapne - 1971 )





Jaise Raadhaa ne Maalaa Japi Shyaam Ki - 2

Main ne Odhi Chunariyaa Tere naam Ki

Tere naam Ki Ho Piyaa, Tere Hi naam Ki

Raadhaa ne

Prit Kyaa Judi

Prit Kyaa Judi, dor Kyaa Bandhi

Binaa Jatan Binaa Yatan Ho Gai Main nayi

Binaa Mol Ki Main Biki, Binaa daam Ki

Raadhaa ne

Kyaa Tarang Hai

Kyaa Tarang Hai, Kyaa Umang Hai

More Ang Ang Rachaa Pi Kaa Rang Hai

Sharm Aai, Kaise Kahuun Baat Shyaam Ki

Raadhaa ne

Paa Liyaa Tujhe, Paa Liyaa

Paa Liyaa Tujhe, Paai Har Khushi

Chaahuun Baar Baar Chadhuun Teri Paalaki

Subah Shaam Ki Ye Pyaas Bade Kaam Ki

Raadhaa ne

0 comments:

Post a Comment