Tuesday, 24 April 2012

Nanna Munna Rahi Hoon ( Son Of India - 1962 )









Nanhaa Munnaa Raahii hoon, Desh Kaa Sipaahii hoon

Bolo Mere SaNg, Jay hind, Jay hind, Jay hind



Raste Pe ChaluuNgaa Na Dar-Dar Ke

Chaahe Mujhe Jiinaa PaDe Mar-Mar Ke

MaNzil Se Pahale Naa LuuNgaa kahin Dam

Aage Hii Aage BaDhaauNgaa Kadam

Daahine BaaeN Daahine BaaeN, Tham! Nanhaa



Dhuup mein Pasiinaa BahaauNgaa JahaaN

Hare-Bhare Khet LaharaaeNge VahaaN

Dharatii Pe Faake Na PaaeNge Janam

Aage Hii Aage



Nayaa Hai Zamaanaa Merii Nai Hai Dagar

Desh Ko BanaauNgaa MashiinoN Kaa Nagar

Bhaarat Kisii Se Na Rahegaa Kam

Aage Hii Aage



BaDaa Ho Ke Desh Kaa Sitaaraa BanuuNgaa

Duniyaa Kii AaNkhoN Kaa Taaraa BanuuNgaa

RakhuuNgaa UuNchaa TiraNgaa Haradam

Aage Hii Aage



Shaanti Ki Nagarii Hai Meraa Ye Vatan

Sabako SikhaauuNgaa Pyaar Kaa Chalan

Duniyaa mein Girane Na dunga kahin Bam

Aage Hii Aage

0 comments:

Post a Comment