Friday, 20 April 2012

Raadha Ke Pyaare ( Amar - 1954 )





raadha ke pyaare krisn kanhaai

teri duhaai -2



ham bhi hain tere

kuch to daya kar

laakhon ki tune

bigadi banaai



raadha ke pyaare



tu unka hai koi na jinka

ho jag saagar hai main tinka

toofaan se aaj bacha le

o mere paahan kaale

fariyaad main le kar

tere dwaar aayi



krisn kanhaai more krisn kanhaai



ham bhi hain tere

kuch to daya kar

laakhon ki tune

bigadi banaayi



sansaar ka tu hai raaja

o nirdhan ke kaam bhi aa ja

preetam ka saath na choote

beqas ki aas na toote

main aasha ki kaliyaan

charanon mein laai



krisn kanhaai more krisn kanhaai



ham bhi hain tere

kuch to daya kar

laakhon ki toone

bigadi banaayi



raadha ke pyaare



[singer:-Aasha Bhonsle]

0 comments:

Post a Comment