Lyrics :
Singer(s): KUMAR SANU, SADHNA SARGAM
angna mein baba duaare pe maa
kaise aaye gori ham tumhare ghar maa
khet gaye baba bazaar gayi maa
akeli hu ghar maa tu aa ja baalma
ghar maan jo aaive to hamein kya khilaive
garam garam halva aur poori pakaive
naram naram haathon se kha jaa baalma
angna mein baba ...
halwa poori khaive to nindiya na sataive
nindiya mein tohare liye aanchal bichhaive
sijiya ki kismat jaga ja baalma
khet gaye baba ...
kya hoga bazaar se maa jo aayi
kah doongi maa ye hai tera jamaai
haath mera maangne ko aa jaa baalma
angna mein baba ...
Bade Kaam Ka Badar
Lyrics :
Singer(s): CHUNKY PANDE, GOVINDA, KUMAR SANU
meharbaan kadardaan sahibaan
jo log chori karte hain seena jori karte hain
topi pehan ke dhoka dete hain aur paisa lekar jaan lete hain
unse toh bhala mera bandar hain jo apna aur apne ustaadon ka pet bharta hain
aur chain ki zindahi basar karta hain
toh bachha log bajaaon mere bandar ke naam pe taali
bade kaam ka bandar - 2
maare toh dharmindar
hey naache toh jitendar
roye toh rajendar
gaur se dekho har hero ki khubi iske andar
jo de uska bhi bhala jo na de uska bhi bhala - 4
bade kaam ka bandar - 2
maare toh dharmindar
hey naache toh jitendar
roye toh rajendar
gaur se dekho har hero ki khubi iske andar
taaiz bandar ke saat baal ka taaiz
ek baal seer ka, ek eyebrow ka, ek moochh ka, ek daadi ka, ek chhati ka,
ek pet ka, ek gate ka
baaki idhar udhar ka hai
magar bunnu
munnu
public ke dil mein sawal aata hain
kya aata hain
yeh taawiz kis kis kaam aata hain
abhi batata hain
jo ladki se sharmata hain shaadi se ghabrata hain
joru se saamne aate hi sar jiska jhuk jaata hain
mera yeh taawiz jawaan mard ban jaata hain
bhook yeh jagata hain, neend yeh badhata hain
naukri dilata hain, lottery lagata hain
achhe numbaro se bachha paas ho jaata hain
aata hai kitne kaam ek rupaya hain daam
woh bhi mehangai badh jaane ki wajah se warna
aathana tha na munnu
jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala - 4
bade kaam ka bandar - 2
maare toh dharmindar
hey naache toh jitendar
roye toh rajendar
gaur se dekho har hero ki khubi iske andar
bunnu
munnu
humne duniya ko taawiz diya
magar bandar ne hamare liye kya kiya
kya kiya
baap ne hume ghar se nikala nikala
band kiya kismat ka tala tala
chhin liya muh se niwala niwala
banke baap bandar ne pala pala
ab bolo bachho bandar achha ke baap achha
bandar
laut chalo ghar laadlo - 2 binti meri maan lo
tum hi meri aankhon ke taare
tum hi ho jeene ke sahare
haal-e-dil mera jaan lo
laut chalo ghar laadlo - 2
ghar ki khidkiyaan tumhe pukare
dhundh rahi tumko deewaren
kaha gayi mere ghar ki bahaaren
izzat na neelam karo
laut chalo ghar laadlo - 2
toda nahi tala hain daka nahi dala hain
chori nahi ki hain mehnat se kamaya hain
dhanda yeh jamaya hain mushkil se kutch paya hain
haai haai ... munnu jara dhund toh re surr kaunsa tha re
haa
jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala - 2
baapu tere pyar se bhar aaya mera bhi gala - 2
accha hain je maan gaye warn toh cut jaata gala - 2
Chaukhat Pe Tumhari
Lyrics :
Singer(s): KUMAR SANU, MOHD AZIZ, SAPNA MUKHERJEE
chaukhat pe tumhari hum dum tod jaayenge - 2
jab hum nahi honge tumhe hum yaad aayenge
chaukhat pe tumhari hum dum tod jaayenge
marna hai toh jaldi karo rone ko aayenge - 2
rone ko hum pados ki sakhiya bhi laayenge
marna hai toh jaldi karo rone ko aayenge
(har baat apni jhuthi hain par ek baat sachhi hain
tere bina hum jee nahi sakte tu itni achhi hain) - 2
dhokha jinki fitrat mein hai woh kya wafa karenge
daga kiya hain jinhone pehle aage daga karenge
dhokha bhi jaayaz hain gori pyar mein
everything fair hai love and war mein
(maane cheater bahut hain iss sansar mein
dhokha achha nahi lekin pyar mein) - 2
tune jo na kardi hum aur kaha jaayenge - 2
hum toh marenge sunke khabar gharwale marr jayenge
chaukhat pe tumhari hum dum tod jaayenge
jab hum nahi honge tumhe hum yaad aayenge
chaukhat pe tumhari hum dum tod jaayenge
(marne se pehle gar mujhko pyar tera mil jata
main dulha tu dulhan banti kitna mazaa phir aata) -2
buzdil hoti hai jo woh khudkhushi kiya karte hain
dilwale toh pyar jahaan se chhin liya karte hain
pehli aakhri meri ek tamanna hain
mujhko toh bas tera dulha banna hain
(jo teri meri bhi wahi tamanna hain
aaj se humko ek duje ka banna hain) - 2
tune jo hamen chaha kutch aur na hum chahenge -2
tere pyar mein marke phir zinda ho jaayenge
chaukhat pe tumhari hum baraat laayenge - 2
ghodi chadh ke aayenge tujhe leke jaayenge
chaukhat pe tumhari hum baraat laayenge
Ek Tamanna Jeevan Ki
Lyrics :
Singer(s): KUMAR SANU, ASHA BHOSLE
(ek tamanna jeevan ki - 2
main pyaar tera hi paaun
(shaadi tujhi se ho meri
chaahen shaadi ke din mar jaaun) - 2) - 2
(na tujhe jaanu na pahachaanu kyon tu gale padi hai
samajh ke mujhako apana deewana ghere hue khadi hai) - 2
tera hi to tha ye kehna tere bin mujhako nahi rehana
tera vaada tera iraada tujhako yaad dilaaun
(shaadi tujhi se ho meri
chaahen shaadi ke din mar jaaun) - 2
ek tamanna jeevan ki - 2
main pyaar tera hi paaun
(shaadi tujhi se ho meri
chaahen shaadi ke din mar jaaun) - 2
(hamra dil jo tod diya to haseen ye bhi kar jaaiye
hamein yaad karega teri chaukhat par mar jaive) - 2
jo bhoola tha yaad vo aaya main hoon vahi jo tune banaaya
na ho dukhi o chandramukhi chhod ke kaheen na jaaun
shaadi tujhi se ho meri chaahen shaadi ke din mar jaaun - 2
ek tamanna jeevan ki - 2
main pyaar tera hi paaun
shaadi tujhi se ho meri chaahen shaadi ke din mar jaaun - 2
Ghairo pe karam
Lyrics :
Singer(s): LATA MANGESHKAR
Ghairo pe karam apno pe sitam, eh jaan-e-wafa ye zulm na kar
Rehne de abhi thoda sa bharam,
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...
Ham bhi the tere manzoor-e-nazar, dil chaaha to ab iqraar na kar
Sau teer chala seene pe magar, begaano se milkar vaar na kar (2)
Be-maut kahi mar jaaye na ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...
Ham chaahne waale hain tere, yu hamko jalaana thheek nahi
Mehfil mein tamaasha ban jaaye, is darja sataana thheek nahi (2)
Mar jaayenge ham, mit jaayenge ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...
Gustakhiyan Hain, Betabiyan Hain
Lyrics :
Singer(s): AADESH SHRIVASTAVA & VASUNDARA
Gustakhiyan Hain, Betabiyan Hain, Chaayi Hain Madhoshiyan
Hosh Uda Do, Sab Kuchh Bhula Do, Todo Yeh Khamoshiyan
Yeh Dhadkan Ki Raftaar Hai, Yeh Saason Ka Angaar Hai
Yeh Ishq Sulagne Do Zara, Yeh Chaahat Ka Iqraar Hai
Jaane Jaan Oh Jaane Jaan...
Aawara Armaan Hai, Yeh Dil Ka Aelaan Hai,
Jaan Tujh Pe Qurbaan Hai, Jaanejaan...
Aawara Armaan Hai, Yeh Dil Ka Aelaan Hai,
Jaan Tujh Pe Qurbaan Hai, Jaanejaan...
Ek Hulchul Si Hone Lagi, Maein Jannat Mein Khone Lagi
Mujhko Baahon Mein Thaam Lo, Phir Na Rukne Ka Naam Lo
Gustakhiyan Hain, Betabiyan Hain, Chaayi Hain Madhoshiyan...
Deewarein Sab Tod Do, Mausam Ka Rukh Modh Do
Har Kashti Ko Chhod Do, Jaanejaan Jaanejaan...
Deewarein Sab Tod Do, Mausam Ka Rukh Modh Do
Har Kashti Ko Chhod Do, Jaanejaan Jaanejaan...
Maein Hoon Teri Aagosh Mein, Kuchh Hosh Mein Kuchh Josh Mein
Kuchh Sholay Hain Kuchh Hai Jalan, Kuchh Behke Behke Hain Kadam
Gustakhiyan Hain, Betabiyan Hain, Chaayi Hain Madhoshiyan...
Hasti Mita Do, Masti Luta Do, Chhodo Bhi Yeh Dooriyaan
Yeh Ishq Sulagne Do Zara, Yeh Chaahat Ka Iqraar Hai
Jaane Jaan Oh Jaane Jaan
Kuch Kasme
Lyrics :
Singer(s): SONU NIGAM, ALKA YAGNIK
Kuch Kasme Hai Jawaan Kuch Vaade Hai Haseen
Kuch Kasme Hai Jawaan Kuch Vaade Hai Haseen
Kaisa Hai Yeh Asar Jaadoo Hai Dekho Har Kahin
Kuch Dil Mein Pyaas Hai Aur Tu Bhi Paas Hai
Woh Jhuk Kar Aasmaan Lagta Hai Chume Yeh Zameen
Jab Kahin Chalte Hai Yeh Pyaar Ki Hawa
Yeh Dil Wahin Panchhi Ban Ke Udta Hai
Aur Kya Hota Hai Is Pyaar Mein Bata
Yeh Ishq Ka Toofan Kaise Thamta Hai
Chaayi Bekhudi Yeh Kaisi Dilkashi
Chaahat Ki Har Ada Kitni Dekho Hai Shabnami
Kuch Dil Mein Pyaas Hai
Dil Hi To Samje Hai Jo Dil Ki Hai Zubaan
Na Samja Hai Na Samjhega Jahaan
Doob Ke Mohabbat Mein Kuch To Paayenge
Sahil Pe Moti Hote Hain Kahan
Kuch Rishte Hai Naye Kuch Baatein Ankahi
Baarish Hai Pyaar Ki Bheeghegi Aaj Dil Ki Zameen
Kuch Kasme Hai Jawaan Kuch Vaade Hai Haseen
Kaisa Hai Yeh Asar Jaadoo Hai Dekho Har Kahin
Milti hai zindgi main mohabbat kabhi kabhi
Lyrics :
Singer(s): LATA MANGESHKAR
milatii hai zindagii mein mohabbat kabhii-kabhii
hotii hai dilbaron kii inaayat kabhii-kabhii
sharmaa ke muh na pher nazar ke savaal par
laatii hai aise mod par qismat kabhii-kabhii
khulate nahiin hain roz dariche bahaar ke
aatii hai jaan-e-man ye qayaamat kabhii-kabhii
tanahaa na kat sakenge javaanii ke raaste
pesh aaegii kisiikii zaruurat kabhii-kabhii
phir kho na jaaen ham kahiin duniyaa kii bhiid mein
milatii hai paas aane kii muhalat kabhii-kabhii
hotii hai dilbaron kii inaayat kabhii-kabhii
milatii hai zindagii mein mohabbat kabhii kabhii ...
Milti hai zindgi main mohabbat kabhi kabhi
Lyrics :
Singer(s): LATA MANGESHKAR
milatii hai zindagii mein mohabbat kabhii-kabhii
hotii hai dilbaron kii inaayat kabhii-kabhii
sharmaa ke muh na pher nazar ke savaal par
laatii hai aise mod par qismat kabhii-kabhii
khulate nahiin hain roz dariche bahaar ke
aatii hai jaan-e-man ye qayaamat kabhii-kabhii
tanahaa na kat sakenge javaanii ke raaste
pesh aaegii kisiikii zaruurat kabhii-kabhii
phir kho na jaaen ham kahiin duniyaa kii bhiid mein
milatii hai paas aane kii muhalat kabhii-kabhii
hotii hai dilbaron kii inaayat kabhii-kabhii
milatii hai zindagii mein mohabbat kabhii kabhii ...
O Laal Dupatte Wali Tera Naam Toh Bata
Lyrics :
Singer(s): KAVITA KRISHNAMURTI, KUMAR SANU, SUDESH BHOSLE
o laal dupatte wali tera naam toh bata
o kaale kurte wali tera naam toh bata
naam toh bata tera naam toh bata
tera naam toh bata
oye hoy hoy hoy oye hoy haay haay
o naam ke deewane tu kaam toh bata - 2
kaam toh bata tera kaam toh bata
tera kaam toh bata
oye hoy hoy hoy oye hoy haay haay
o laal dupatte wali tera naam toh bata
o kaale kurte wali tera naam toh bata
(arey dekhte hi humko tu pasand aa gayi
rehne lagi dil mein tu aankhon pe chha gayi) - 2
pehli mulakat mein ladki nahi khulti
har ajnabi pe dil ki yeh khidki nahi khulti
khidki nahi khulti yeh khidki nahi khulti
yeh khidki nahi khulti
dil ke liye dil ka koi paigaam toh bata
aashiq ka tere kya hoga anjaam toh bata
o laal dupatte wali tera naam toh bata
o kaale kurte wali tera naam toh bata
o naam ke deewane tu kaam toh bata - 2
o soniye ah ha ah ha - 2
o mahiya ah ha ah ha - 2
o soniye ah ha ah ha - 2
o mahiya ah ha ah ha - 2
hey..
hadippa..
(tu soch le hum sochne ka mauka bhi denge
tu pyar se tang aayegi pyar itna karenge) - 2
tauba meri tauba mere picche hi pad gaye
tumko chunu kya mere mukaddar bigad gaye
mukaddar bigad gaye - 2
kal ke liye apna koi program toh bata
jo saath gujarenge aaisi koi shaam toh bata
o unchhi sandal wali tera naam toh bata
o laal dupatte wali tera naam toh bata
o kaale kurte wali tera naam toh bata
o naam ke deewane tu kaam toh bata - 2
Phatela jeb sil jaayega
Lyrics :
Singer(s): NITIN RAIKAR, AADESH SHRIVASTAVA & ARUN BAKSHI
Phatela jeb sil jaayega, jo chaahega mil jaayega
Tere bhi din aayenge chhote, achcha khaasa hil jaanyega
Rukne ka nahin, thakne ka nahin, life mein chalte rehne ka
Arre bheja kyun sarka ne ka
Sahi bolta sahi bolta
Tension kaayko lene ka
Sahi bolta sahi bolta
Phatela jeb sil jaayega, jo chaahega mil jaayega
Tere bhi din aayenge chhote, achcha khaasa hil jaanyega
Rukne ka nahin, thakne ka nahin, life mein chalte rehne ka
Arre bheja kyun sarka ne ka
Sahi bolta sahi bolta
Tension kaayko lene ka
Sahi bolta sahi bolta
Khaane ka hai chicken curry, usko mangta pati hari
Jeb main tere dus rupiya, peele cutting khaale bhajiya
Khaane ka hai chicken curry, usko mangta pati hari
Jeb main tere dus rupiya, peele cutting khaale bhajiya
Kismat pe, rone ka nahin, calender badalte rehne ka
Arre bheja kyun sarka ne ka
Sahi bolta sahi bolta
Nitin Tension kaayko lene ka
Sahi bolta sahi bolta
Aaj to hai andhera, kal hoga ujaala
Arre apni diwaali hogi, kisi aur ka hoga diwaala
Kal dekh lenga paisa, hoga goni bhar kar
Income tax officer, toh haath dhoke hi peechhe pad jaayega ha ha ha!
Phatela jab sil jaayega, jo chaahega mil jaayega
Tere bhi din aayenge chhote, achcha khaasa hil jaayega
Rukne ka nahin, thakne ka nahin, life mein chalte rehne ka
Arre bheja kyun sarka ne ka
Sahi bolta sahi bolta
Tension kaayko lene ka
Sahi bolta sahi bolta
Phatela jeb sil jaayega, jo chaahe mil jaayega
Arre boltaaej pakda baap line mein aa, line mein aa
Kyun ka kyun ka!
Tere bhi din aayenge chhote, achcha khaasa hil jaanyega
Rukne ka nahin thakne ka nahin life mein chalte rehne ka
Life mein chalte rehne ka hey! life mein chalte rehna ka
Arre bheja kyun sarka ne ka
Sahi bolta sahi bolta
Tension kaayko lene ka
Sahi bolta sahi bolta -4
Preet Lagaa Ke
Lyrics :
Singer(s): MUKESH
preet lagaa ke mein ne yeh phal paayaa
sud budh khoyi, chain gawanyaa
tum ne mujh se pyaar kiyaa thaa
ulfat kaa iqaraar kiyaa thaa
apnaa banaa ke pahele ye bisaraayaa
preet kaa waa' daa khub nibhaayaa
aa ke jo dekhen tu dukh mere
kyaa na bahenge aansoo tere
dukh de mujh ko, tune kyaa sukh paayaa
tujh ko bedardi reham na aayaa
ek jhalak phir se dikhlaa de
khwaab mein aa kar itnaa bataa de
jyot bujhaa kar in nayanon ki
kis ke man kaa deep jalaaya
preet lagaa ke mein ne yeh phal paayaa
sud budh khoyi, chain gawanyaa
0 comments:
Post a Comment