Lyrics :
Singer(s): KUMAR SANU, ALKA YAGNIK
--Male--
Hey Hey, Hey Hey, Hey Hey,
Aahaah Ha Ha, Mm Hmm Hmm
Rehte Hai Hum Khoye Khoye, Gumsum - 2
Kyoon Ke Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
--Female--
Seene Mein Dil, Dhak Dhak, Dhum Dhum - 2
Kyoon Ki Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
--Male--
Pehle Yeh Neend Gayi, Phir Yeh Qaraar
Na Jaane Kya Jaayega Ab Ki Baar
--Female--
Mukh Pe Sajaaliya Maine Bhi Kya
Bas Ho Gaye Mere Solah Singaar
Kajraa Na Gajraa, Na Kumkum
Kyoon Ki Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
--Male--
Seene Mein Dil, Dhak Dhak, Dhum Dhum
Kyoon Ke Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
--Female--
Khamosh Hai Hum Dono Magar
Karne Lagi Baatein Yeh Nazar
--Male--
Tumne Kuch Aise Dekha Idhar
Phir Kya Hua Nahin Mujhko Khabar
Bas Hosh Mere Ho Gaye Gum
Kyoon Ke Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
Seene Mein Dil, Dhak Dhak, Dhum Dhum
Kyoon Ke Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
--Female--
Rehte Hai Hum Khoye Khoye, Gumsum
Kyoon Ki Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
--Male--
Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
--Female--
Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
--Male--
Haan, Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
--Female--
Aankhon Mein Tum Ho, Aankhon Mein Tum
Har Ek Muskuraahat
Lyrics :
Singer(s): ALKA YAGNIK
La La La Laa, La La La La Laa Laa
Aah Haa, Aah Ha Ha Ha Ha Ha Haa
La La La Laa, La La La Laa Laa, La La La La Laa La, Aah Ha Ha
Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin Hoti
Nafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin Hoti
Aansoo Khushi Ke Gham Ke, Hote Hai Ek Jaise - 2
In Aansuon Ki Koi Pehchaan Nahin Hoti
Haan, Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin Hoti
Nafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin Hoti
Har Baat Hai Vahi Par Matlab Badal Gaye Hai
Dil Dagmagaa Gaya Tha, Par Hum Sambhal Gaye Hai
Aise Bhi Aate Hai Din, Jeete Hai Log Lekin - 2
Hota Hai Aur Sab Kuch, Par Jaan Nahin Hoti
Haan, Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin Hoti
Nafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin Hoti
La La La Laa, La La La La Laa Laa
Aah Haa, Aah Ha Ha Ha Ha Ha Haa
La La La Laa, La La La Laa Laa,
La La La La Laa La, Aah Ha Ha
Hote Hai Is Jahan Mein Chehre Bhi Ek Jaise
Ghoonghat Bhi Ek Jaise, Sehre Bhi Ek Jaise
Sab Jaanti Hai Nazrein, Pehchaanti Hai Nazrein - 2
Apni Paraayi Soorat Anjaan Nahin Hoti
Haan, Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin Hoti
Nafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin Hoti
Kya Cheez Hai Yeh Dil Bhi, Ho Jaaye Jab Akela
Rehta Hai Saath Iske Yaadon Ka Ek Mela
Duniya Bhi Chhoot Jaaye, Har Aas Toot Jaaye - 2
Mehfil Kabhi Yeh Dil Ki Veeran Nahin Hoti
Aansoo Khushi Ke Gham Ke, Hote Hai Ek Jaise - 2
In Aansuon Ki Koi Pehchaan Nahin Hoti
Haan, Har Ek Muskuraahat Muskaan Nahin Hoti
Nafrat Ho Ya Mohabbat, Aasaan Nahin Hoti
Hum Kahe Na Kahe
Lyrics :
Singer(s): KUMAR SANU AND ANURADHA PAUDWAL
--Male--
Hey Hey Hey Hey Hey Hey Hey Hey,
Oh Ho Ho Ho Ho Ho Ho Ho
Aah Ha Ha Ha Haa Ha Haa
Hum Kahe Na Kahe Is Zubaan Se
Baat Honton Pe Rukti Nahin
Farak Padtaa Hai Kya Haan Se Naa Se
Yeh Nazar Yunhi Jhunkti Nahin
(Saaf Zaahir Hai Dono Taraf Se
Yeh Mohabbat To Chhupti Nahin) - 2
--Female--
La La La La, La La La Laa La,
La La La La La La Laa
Hum Kahe Na Kahe Is Zubaan Se
Baat Honton Pe Rukti Nahin
Farak Padtaa Hai Kya Haan Se Naa Se
Yeh Nazar Yunhi Jhunkti Nahin
(Saaf Zaahir Hai Dono Taraf Se
Yeh Mohabbat To Chhupti Nahin) - 2
--Male--
Pehle Nazarein Mili Phir Mile Dil
Ab Hamaari Mulaqaat Hai
--Female--
Log Badnaam Humko Na Karde
Sochne Ki Yahi Baat Hai
--Male--
Log Kuch Bhi Kahe, Yeh Mohabbat
Baat Logon Ki Sunti Nahin
--Female--
Farak Padta Hai Kya Haan Se Naa Se
Yeh Nazar Yunhi Jhunkti Nahin
--Male--
Saaf Zaahir Hai Dono Taraf Se
Yeh Mohabbat To Chhupti Nahin
--Female--
Hum Kahe Na Kahe Is Zubaan Se
Baat Honton Pe Rukti Nahin
--Male--
Farak Padtaa Hai Kya Haan Se Naa Se
Yeh Nazar Yunhi Jhunkti Nahin
--Female--
Saaf Zaahir Hai Dono Taraf Se
Yeh Mohabbat To Chhupti Nahin
Dil Hai Yeh, Koi Mausam Nahin Hai
Ek Din Jo Badal Jaayega
--Male--
Pyaar Hai, Koi Kaanta Nahin Hai
Lag Gaya Jo Nikal Jaayega
--Female--
Jab Talak Jaane Jee Se Na Nikle
Yeh Mohabbat Nikalti Nahin
--Male--
Farak Padta Hai Kya Haan Se Naa Se
Yeh Nazar Yunhi Jhunkti Nahin
--Female--
Saaf Zaahir Hai Dono Taraf Se
Yeh Mohabbat To Chhupti Nahin
--Male--
Hum Kahe Na Kahe Is Zubaan Se
Baat Honton Pe Rukti Nahin
--Female--
Farak Padta Hai Kya Haan Se Naa Se
Yeh Nazar Yunhi Jhunkti Nahin
--Male--
Saaf Zaahir Hai Dono Taraf Se
Yeh Mohabbat To Chhupti Nahin
--Female--
Saaf Zaahir Hai Dono Taraf Se
Yeh Mohabbat To Chhupti Nahin
0 comments:
Post a Comment