Wednesday, 11 April 2012

Hindi Lyrics of movie BAAGHI (1953)



Bahaaren Ham Ko Dhoondhengi



Lyrics :



Singer(s): LATA MANGESHKAR





hamare baad ab mehfil mein afsaane bayaan honge

bahaaren ham ko dhoondhengi, na jaane ham kahaan honge

bahaaren ham ko dhoondhengi



isi andaaz se jhoomega mausam gaayegi duniya - 2

mohabbat phir haseen hogi, nazaare phir jawaan honge

bahaaren ham ko dhoondhengi, na jaane ham kahaan honge

bahaaren ham ko dhoondhengi



na ham honge, na tum hoge, na dil hoga, magar phir bhi - 2

hazaaron manzilen hongi, hazaaron kaarwaan hongi

bahaaren ham ko dhoondhengi, na jaane ham kahaan honge

bahaaren ham ko dhoondhengi







Kaha Chala Gaya Tu



Lyrics :



Singer(s): LATA MANGESHKAR





ched yu karti hai duniya tere naam ke saath

hans ke leti hai mera naam tere naam ke saath



kar ke badnaam meri neenden haraam

kaha chala gaya tu kaha chala gaya



karne ko baaten karu tujh se khayaalon mein

phir bhi na maane dil to kya karu

kab tak bhigoya karu ashkon se palkein

kab tak judaai mein aahen bharu

jab se hui shaam mujhe rone se kaam

kaha chala gaya ...



bhatke nazar meri ban mein chaman mein

chain main dil ka kahi bhi paau na

dil mein bhadak chale shole judaai ke

haay inhi mein kahi jal jaau na

ho na badnaam kahi tera hi naam

kahaan chala gaya ...







Taare Khiley Aayi Raat



Lyrics :



Singer(s): LATA MANGESHKAR





o

( taare khile aayi raat

teri meri baat

ye duniya jaane na jaane na jaane na ) -2

taare khile aayi raat



( meri duniya ke in chaand-taaron mein aa

o bahaaron mein aa

in nazaaron mein aa ) -2

o mausam nashe mein choor

nikal chalen duur

ye duniya jaane na jaane na jaane na

taare khile aayi raat

teri meri baat

ye duniya jaane na jaane na jaane na

taare khile aayi raat



( a mere daastaan ban ke aa

armaan ban ke aa

meri jaan ban ke aa ) -2

aankhon se dil ki ho baat

guzar jaaye raat

ye duniya jaane na jaane na jaane na

taare khile aayi raat

teri meri baat

ye duniya jaane na jaane na jaane na

taare khile aayi raat





0 comments:

Post a Comment